Aansu aankhon se girnay ka takaza na karo,

Aansu aankhon se girnay ka takaza na karo,
Aansu aankhon se girnay ka takaza na karo,
Ru''Ba''Ru un k mujhe itna bhi ruswa na karo,
Zakhm sehnay ki sakat bhi nahi ab to dil mei,
Dard barhta hai mujhe pyar se dekha na karo,

Charah sazo ye mera dard nahi qismat hai,
Jhuti taskeen se mere gham ka madawa na karo,

Pyar to de na sakay yadain hi dete jao,
Chornay wale mujhe itna bhi tanha na karo,

Nazah k waqt "SaaMer" to na lo naam unka,
Aakhri waqt mei to pyar ko ruswa na karo.
  

Jun, 01 2010     449 chars (3 sms)     3558 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Khwaab Aur Haqeeqat Main

Farq Shayad Itna Hai

Khwaab Toot Jaata Hai

Haqeeqat Tod Deti Hai ....!!
Hum ne dekha tha faqat Shauq-e-nazar ki khatir...

Ye na Socha tha ka tum dil mein utar jao gay..
Tujhay ishq ho Khuda karay………..
Koi tuj ko us say juda karay
Teray hont hansna bhool jayain
Teri aankh purnam raha karay
Too Usi ki batain kia karay
Too Usi ki batain suna karay
Tujhay hijr ki woh jhari lagay
Too Milan ki har pal dua karay
Too nagar nagar phira karay
Too gali gali sada karay
Tujhay ISHQ ho phir Yaqeen ho
Ussay Tasbeehon pay parha karay
Main kahoon ishq dhong hay
Too nahin nahin kaha karay
Humne jitna chaha unhe apna banana,
Unhone utna hi chaha hume satana,
Dil behelane ke aur bhi tarike hai
Par shauk tha unka hume tadpana.
yeh keh kr us ne Shajar ko tAnAy se kaat Dia.



k is dArkht mAin kuch TahniAn purAni hAin.
kuch is liye b wo hum se khafa raha

amir

wo jan gya tha k humain un se pyar buhat hai...
Meri deewangi ko galatna samajhna,
maine chaha hai tumhe hadh se badhkar ,
meri zindagi se kabhi dur na jana,
maine paya hai tumhe kismat ki lakeeron se ladhkar
Ishq karnay kay bhi kuch aadab hotay hain
Khule ankhoun main bhi kuch khuab hotay hain
Har koi roo kay dekhai yeh zarori to nahi
Khushk ankhoun main bhi selaab hotay hain...
Zara dhehaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Wafa ka maan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Kahan es umer main hum bhes badlain gain faqeron ka
Milan asaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Judai k dino main loog chehray bhool jatay hain
Meri pehchaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Saara shehar meri deewangi say waqif raha magar...

Ik shakhs ki aankhon say be-aitbaari na gayi!!!
usko ankhon k dareeche se juda kaisay karoon,

wo meri zaat k har pehlu se bayaan hota hai...
Aanaa Passand Kabhi Muhabbat nahin Kartay..!!

Muhabbat Un ka Shewa Hai Jo Khud ko "Maar" Detay hain..!!