jaane kyun wo saans

jaane kyun wo saans
jaane kyun wo saanso ki dor tootne nahi deta
bas do kadam aur chalne ka waasta dekar mujhe rukne nahi deta

baat kehta hai wo mujhse hans hans kar jee lene ki
ajeeb shakhs hai mujhko chain se rone nahi deta

aaj hausla deta hai mujhe chaand sitaro ko chhu lene ka
wo pyara sa chehra mujhe tootkar bikharne nahi deta

shayad jaanta hai wo bhi in aankhon men aansuo ka sailaab hai
jaane kyun fir bhi wo in aansuo ko girne nahi deta

mujhse kehta hai, “main to mar jaunga tumhare bina“
main zinda hun ab tak ke wo mujhe merne nahi deta..
  

Jun, 03 2010     548 chars (4 sms)     2488 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mein


is


Hajoom-e-Alam Se

Nikal To Jaon Magr


Tera Khayal Mujhay Rasta Nhi Diata,
Aansuo mein raatbhar rona para

Tere milan se to haath dhona para

Tera milna tha khwaab mera

Khwaab laane ke liye sona para
Ab teri Yaad se Wehshat nhi hoti mujh ko,

Zakhm khulte hain AziYat nhi hoti mujh ko,

Ab kisi shakhs ki Aadat nhi hoti mujh ko,

Ab koi AaYe, chla jaYe main khush rehta hon,

AesY Badla hon TerY Shehr ka Paani pi kr,

jhoot Bolon to nadaamat nhi hoti mujh ko.
DIL SAAKIN WA JAAMID MERA WUJOOD SAHI
DIL-E-NAZUK KO ZARA BHI MAGAR QARAR NAHIN
BOHOT SOCHA THA BHOOL JAOON GA TUJH KO
TERE YADOON KE SAIY SE MAGAR FARAR NAHIN
Meri baylous mohabbat ne duboya hai mujhe
Itna mukhlis houn ke her dil main uter jaata houn
Zikr unka hi aata hai mere fasane me,
jinko jaan se jyada chaha hamne jamane me.
Tanhai me unki hi yaad ka sahara mila,
nakamyab rahe jinko hum bhulane me
Na To Gham ki DhooP Jala SaQi,Yeh To mosam ka Asar Hova.


Wohi mera WAFA ka He Phool Tha,jo Abi Tk hY Khila Hova.
Ye Meri Mohabat Hai Koi Raitt Pe Likha Naam Nahi,
JAn|x...
Issay Moat Tou Mita Sakti Hai Mager Tere Bas Ki Baat
Nahi... ;->
Wo Dil Dil Nahi Hota Jis Mein Pyar Nahi Hota
Wo Pyar Pyar Nahi Hota Jo Chahat Mein Beqarar Nahi Hota

Thora Tarapna Thora Machalna Tou Hai Mohabbat Ki Ada
Jo In Raahon Se Na Guzre Wo Yaar Yaar Nahi Hota
wo tha to kahin waqt thehrta hi na tha mohsin...

ab waqt guzrny mein bohat waqt lagta hei.
Tumne Jo Sahil Pe Aati Lehron Se Dosti Ki Hai,
Un Mein Se Meri Wali Bhi Ek Lehar Hogi,
Agar Tumse Mile To Usse Kehna,
Wo Ret Pe Jo Ek Nishan Tha Wo Abhi Tak Pyasa Hai
**mohabat kar nehi paaya**
december k maheenay ka,
wo shaayad aakhri din tha..
baras guzray kaii,
main nay "mohabat" lafz likha tha..
kisi kaaghaz k tukray par!
achaanak yaad aaya hay,
baras guzray kaii,
mujh ko kisi say baat karni thi..
usay kehna tha..
"jaan-e-jaan!
mujhay tum say mohabat hay.."
magar main keh nehi paaya..
wo kaaghaz aaj tak,
lipta para hay dhool main lekin..
kisi ko day nehi paaya,
dobaara chah kar bhi main,
mohabat kar nehi paaya...!!