Ansu SMS Messages220 messages

Kaash main teri haseen
Ankhon ka kajal hota.
Tere ronay se tere saray
Ansuon ko pi jata.

Raat ko be-khabri me Jo
Tujhe mera khayal aata.
Tu main teri ankhon me
kuch pehlay se ziada
Tehal jata.

Subha jab tum apne
Naram hathon se saf
karti mujhe.
Tu main tere nazuk
Hathon pe lag sa jata.

To apni ankhon me
Hamesha pyar se lagati
Mujhe,
Tu na kabhi khud se
Juda kar pati mujhe.

Youn teri rangeen dunya
Me rehta madhosh.
Umar bhar me karta teri
Ankhon ko roshan.

Kash main teri haseen
Ankhon ka kajal hota.

¤KinG Of SmS¤007
Hamara ye tum ko salaam aakhri hai
Suno aj tum se kalaam aakhri hai
Agar ho sake to bhula dena hum ko
Yehi ek chhota sa kaam aakhri hai
Abhi aarzuon k sehra pyase hain
Magar aAnsuon ka ye jaam aakhri hai
Teri bewafaye ka shikwa aakhri hai
Yehi to wafaon ka inaam aakhri hai
Mariz-e-mohabbat ki aye chaara sazo
Tumhare shehar me ye shaam aakhri hai
Zara dair thehro qazaa k farishto
Labon pe hamara payaam aakhri hai
Koi mil sake ga na Hasrat k jesa
Teri adaon ka ye ghulam aakhri hai
Main apni raaton ki fursaton main tuje manaon to maan jana
Agar kisidin main apne Ansu jo le k aaun to maan jana
Ye 1 dil hi tumhe diya tha so iss liye
Jo sooli pe muskuraon to maan jana
Tu bad-guman hai meri wafa pe to sirf 1 bar azma le
Jo haar jaoon to lot jana jo jeet jaoon To maan jana
Muddat se jis ke waaste Dil be qaraar tha

Woh laut kar na aaya magar intezaar tha


Jo humsafar tha chorr gaya raah main mujhe

Main phans gayi bhanwar main woh darya ke paar tha


Manzil qareeb aayi to tum door hogaye

Itna to tum batao ke yeh kaisa Pyaar tha


Chilman giradi yeh kis ne dono ke darmiyan

Na woh sakoon se betha na mujh ko qaraar tha


Yeh mukhtasar sa haal hai rukhsat ke waqt ka

Ankhon main aAnsu aur Dil beqaraar tha


Yeh baat umer bhar samjh na paayi main

Kyun Dil mera us ka talabgaar tha
Kabhi Mujh Ko Saath Lekar, Kabhi Mere Saath Chal Kar
Woh Badal Gaye Achaanak Meri Zindagi Badal Kar

Huye Jis Pey Meharaban Tum Koi Khush Nasib Hoga
Meri Hasaratein To Nikalin Mere Ansuuon Mein Dhal Ke

Teri Zulf-O-Rukh Kay Qurban Dil-E-Zaar Dhuundhata Hai
Wahi Champai Ujaale Wahi Suramai Dhundalake

Koi Phool Bun Gaya Hai Koi Chaand Koi Taara
Joh Chiraag Bujh Gaye Hain Teri Anjuman Mein Jal Ke

Mere Dosto Khudara Mere Saath Tum Bhi Dhuundo
Woh Yahin Kahin Chhupey Hain Mere Ghum Kaa Rukh Badal Kay

Teri Bejhijhak Hansi Say Na Kisi Kaa Dil Ho Mailaa
Yeh Nagar Hai Aainon Kaa Yahaan Saans Le Sambhal Ke
Sath chalne ke liye sathi chahiye,
AAnsu rokne ke liye muskan chahiye
Zinda rehne ke liye zindagi chahiye
Aur zindagi jine ke liye aap chahiya
Mohabat phir Muhabat he....

Kbi Dil se nhi jaati,

Hazaron rang hain is k,

Ajab hi dhang hain iske,

Kabi sehra.

Kabi darya,

Kabi jugnu,

Kabi aAnsu,

Hazaro roop rakhte he,

Badan jhulsa k jo rakh de

Kabi wo dhoop rekhti he,

Kabi ban kar ye ek jugnu shab-e-gham k andheron main

Dilon ko aas deti he,

Kabi manzil kenaarey par piyasa maar deti he,

Aziyat hi aziyat hai,

Magr

Ye b haqiqat he,

Muhabat phir muhabat he

Kabi dil se nhi jaati...
Wo pyar ka suboot dikhaya krta tha

Ansu baha k hmain manaya krta tha

ye zindgi sirf tum se wabasta ha

aksar ye bat hamain bataya krta tha

us ki baton ma kuch aisa asar tha jana

ma barish k bina hi bheeg jaya krta tha

sone ki fursat kse thi Farhan

wo hamain sari raat jagaya krta tha

bechani jb had se barh jati

wo jee bhar k gale lagaya krta tha

wo itni muhabbat KRNe wala badal kaise gaya?

Jo har bat pe mari qasm khaya krta tha!!!
Dil ki Baat Labon Par La Kar Ab Tak Hum Dukh Sehtey Hain,
Humne Suna Tha Iss Basti Mein Dilwaley Bhi Rehtey Hain,

Beet Gaya Sawan Ka Mahina Mausam Ne Nazrein Badli hain,
Lekin Inn Pyaasi Aankhon Mein Ab Tak AAnsu Behtey Hain,

Ek Hamein Awara Kehna Koi Bada Ilzaam Nahi,
Duniya Waley Dil Walon Ko Aur Bahut Kuch Kehtey Hain,

Jis Ki Khatir Sheher Bhi Chhoda Jiske Liyey Badnaam Huey,
Aaj Wohi Humse Begane Begane Se Rehtey Hain,

Wo Jo Abhi Rehguzar Se Chaak-E-Garebaan Guzra Tha,
Uss Awaara Deewane Ko Jalib Jalib Kehte Hai...
mujy teri judai ne
yahi meraj bakhshi hy
k main jo lafz likhta hoon
wo saary lafz roty hain
k main jo harf bun'ta hoon
...wo saary bain karty hain
mery sang is judai main
mery alfaz marty hain
sabhi tareef karty hain
meri tehreer ki lekan
kabhi koi nahi sunta
maery alfaaz ki siski
falak b jo hila daaly
mery lafzon main hy shamil
usi taseer k aAnsu
kabhi dekho mery hamdam
MERI TEHREER K AAnsu
Aek Lafz ''MOHABBAT'' hay kr k dakho tum tarap na jao to kehna.
Aek lafz ''MUQADDAR" hay lar k dakho tum haar najao to kehna.
Aek lafz "WAFA" hay zamana ma nh milta dhoond pao to kehna.
Aek lafz "Ansu" hay dil ma chupa k dakho tumhari ankh sa nikal ayen to kehna.
Aek lafz "JUDAEE" hay seh kr dakho tum toot kr bikhar na jao to kehna.
Tum khafa Kiyon ho !
Tumhen mujh say gila kiya hai,
Achanak
bayrukhi itni,
Batao to howa kiya hai,
......Manaon kis tarah tum ko,
Mujhe itna to
bata do
Agar ab ho sake tum say
To yeh ahsan farma do
Meri Manzil Mohabat hai
Mujhe Manzil pe Pohncha do
Tumhari aankh Main aAnsu
Mujhe ache nahi lagte
Tumhare Narm honton pe
Gilay ache nahi lagte
Tumhare Muskurane say
Mera dil Muskurata hai
Tumhare Rooth jane se
Mera dil toot jata hai..