saans leta hoon tu Jannat ki hawa ati hai,
Dil darakta hai tu Matam ki sada ati hai,
Qabar mein boolein gay Malak-ul-Maut kia tu uthata tha Alam ?
Teri maeyat se tu khushboo Wafa aati hai..
Kitni Bulandiyoon pai hai Eaiwan-e-FATIMAH(s.A)
Roouh-ul-Ameen hai soorat-e-Darban-e-FATIMAH(s.A)
Hasil kahan demagh ko Irfan-e-FATIMAH(s.A)
Khuld-e-Bareen hai Naqsha-e-Imkan-e-FATIMAH(s.A)
Kuch is liye bhi mujh ko Tilawat ka shauq hai
QURAAN hai lafz lafz, sana Khwan-e-FATIMAH(s.A)
Mola Abbas(A.s)ka Banda Hun
Ghunah Ghaar Bhi Hun
Doozakh Me Naa Jaaaoo Ga
Khata Kaar Bhi Hun
Ager Kheench Ker Lay Bhi Gaye 10 20 Malaaiek!
Aag Ro Ro Ker Bhujaa Dunga
Azaadaar Bhi Hun
Betho Nabi(saww) ka pass jo farman chahiye
jao Ali(as) ke pass jo emaan chahiye
awaz de raha hai jahan ko mah-e-sayam
Zahra(s.a) kay ghar main aao jo quran chahiye
Jisi Ali(a.s) kii muhabat ka aitraaf nahi ..
Laakh sajday karay koi Gunnah maaf nahi ..
Badan pe Jama-e-Ahraam Dil mai Bughz-e-Ali,
YE Kabba pak k phairy tu hai tawaf nahi ...
Manaoo jashan k kaabay me Ali arahey hain
Khudda k ghar say botoon ko bhaga rahey hain
Dewar e kabba nay haans k kaha khudda ki kasam
Mujhey Ali tawaaf k qabil bana rahey hain