s SMS Messages25826 messages

Woh Jo Rangeen Hua Khoon-e-shabbir(a) say
Aasmaan se Bhe Uncha Woh Parcham Karo
Karbala say Yehi Aarahi Hay sada
Zindagi Chahtay Ho To Matam Karo
itni c bus hikayat-e-EHD-e-ZAMANA hai
HUJJAAT KHUDA ki asal hai baqi fasana hai
Ghairoon ne jo IMAM banaye thay chal basay
Zinda faqat hamara IMAM-E-ZAMANA(a.s) hai
Dour zehnoon se teeragi ker lo
Zikar-e-HAIDER(a.s) se roshani ker lo
Ji rahay ho baghair hub-e-ALI(a.s)
es se behtar hai khud kushi ker lo
Jo nathiq e Qura''an ne diya nok e sina se
paigham wo dunya se mitay ga na mita hai
qanoon e Hussain ibne Ali(a.s) bar sir e sehra
Abbas(a.s) ne haatho ko qalam ker k likha hai
Fanaa k Baad b is Rasam Ko nibhaein gein
Lahad mein ja k b hum tera Ghum Manaein gein
Nishaaan ABBAss ka turbat pe hum laga dein gein
Hussain teri sadaqat pe sir kata dein gein.
mehki hui jannat k hawa khoob hai leken
Abbas(a s) k rozay k fiza sab seh alag hai
laao tou ata karnay main Abbas ka sani
bin hathoon seh denay k ada sab seh alag hai.......
Durood Zinda Hai Apna salam Zinda Hai
Khuda K saath Mohammad(sAWW)Ka Naam Zinda Hai
Tumhara To Koi Murda Bhi Ab Nahi Koi
Humein Hai Fakher K Humara Imam(A.s)Zinda Hai.
Ya RAB ye iltimaas hai teri janab mai
Mujh ko mila day KHAK-E-DAR-E-BOOTRAAB mai
Baad-e-namaaz daikhtay hain yun idher udher
gardan phansi ho jaisay KHUDA ke azaab main

Jo Na Pekar-e-Mawaddat Mein Dhaley Ga
Taa-Abad Aatish-e-Dozakh Mein Jaley Ga
Rakh Jeib Mein Ishq-e-Ali Ka Zar-e-Khalis
sikka Yehi Bazar-e-Qayamat Mein Chaley Ga


Marhab-e-waqt ko jiss teer say dar lagta hai
Run mei us teer ko baysheer(a.s) say dar lagta hai
Pay-e-Abid(a.s) mei pehnayee thee jinhon nay zanjeer
Unki aulad ko zanjeer say dar lagta hai

submited in : In Honour Of Hazrat Hussain

Characters : 198 | sms Length : 2

submitted By K|-|AD!M From khi ( 0332-3160854 )
Mariyam se bhi Batool ko rutba siwa mila
Baba ussey Rasool sa khair ul wara mila
Baita her ik shaheed-e-rah-e-kibriya mila
shauher mila tou khalq ka mushkil kusha mila
her aik apnay mertabay mein intekhaab hai
Zehra hain bemisaal Ali lajawaab hai
Quraan kay kalaam ko saheefa nahin kehtay
sanjeeda hakeekat ko Lateefa nahin kehtay
Ham Dushman e Haider ko shariat ki lughat main
kuch orr to kehtay hain Khaleefa nahin kehtay