Marhab-e-waqt ko jiss teer say dar lagta hai
Run mei us teer ko baysheer(a.s) say dar lagta hai
Pay-e-Abid(a.s) mei pehnayee thee jinhon nay zanjeer
Unki aulad ko zanjeer say dar lagta hai
Mazahar_e_sanat_wahadat ko Ali(a.s) kahtey hain
Waris_e_ilam_e_nabwat ko Ali(a.s) kahtey hain
Sun k farman_e_mohamad(saw) phir kaha hum ney
Hum to ALLAH ki ibadat ko Ali kahtey hain
Leta tamaam kaam woh apy WALI se hai,
Nisbat har ek IMAM ko NOOR-e-JALI se hai,
kul ikhtiyaar se diye HASSAN O HUSSAIN ko,
Deta KHUDA zroor hai milta ALI se hai.
Jo Na Pekar-e-Mawaddat Mein Dhaley Ga
Taa-Abad Aatish-e-Dozakh Mein Jaley Ga
Rakh Jeib Mein Ishq-e-Ali Ka Zar-e-Khalis
Sikka Yehi Bazar-e-Qayamat Mein Chaley Ga
Quraan kay kalaam ko saheefa nahin kehtay
Sanjeeda hakeekat ko Lateefa nahin kehtay
Ham Dushman e Haider ko Shariat ki lughat main
kuch orr to kehtay hain Khaleefa nahin kehtay