Farsh-e-aza jahan may bichatay rahenge hum,
paigham shah-e-din ka sunatay rahengay hum,
Pyasay Hussain(a.s) pyasiSakina(a.s) k naam per,
dushman b ho to pana pilatay rahenge hum..
Percham-e- Hazrt-e-Abbas Uthay Rukh Na
Shor-e-Matam Sy Zamany Ko Jagay Rukhna
Gham-e-Shabbir Ibadat Hy Koi Rasm Nahi
Apni Naslon ko Azadaar Banay Rukhna
Be Khouf Hoo Rahe Hai Azadari-e-HUSSAIN
Dil Koo Sukoon Hai K ALAMDAR Sath Hai
Sadiyon Se Ek Pal Koo Yeh Panja Na Jhuk Saka
ABBAS Tere Hath Pe ZEHRA Ka Hath Hai