Ye Aitbaar Meri Zindagi Ka Haasil Hai
Ibaadaton Ke Safar Ki Hussain Manzil Hai
Namaz Main Bhi Tasavvur Hussain Ka Rakho
Ya Ye Kaho Ke Nabhi Ki Namaz Baatil Hai
Aye mavia mardood tu naakaam hogaya
Duniya main zikre Aal-e-Nabi aam hogaya
Meray Hussain per hain Durodon ki barishain
laanaaat teray yazeed ka anjaam hogaya
Be Khouf Hoo Rahe Hai Azadari-e-HUSSAIN
Dil Koo Sukoon Hai K ALAMDAR Sath Hai
Sadiyon Se Ek Pal Koo Yeh Panja Na Jhuk Saka
ABBAS Tere Hath Pe ZEHRA Ka Hath Hai