Jo nathiq e Qura''an ne diya nok e sina se
paigham wo dunya se mitay ga na mita hai
qanoon e Hussain ibne Ali(a.s) bar sir e sehra
Abbas(a.s) ne haatho ko qalam ker k likha hai
Nazar Gum hai Nazaro Ko Badi Takleef Hoti Hai
Baghair unke nazaro ko Badi Takleef Hoti Hai
Nabi Kehte The ye Aksar Ke Aksar Zikr e Haider Se
mere Kuch Jaan Nisaro Ko Badi Takleef Hoti hai
itni c bus hikayat-e-EHD-e-ZAMANA hai
HUJJAAT KHUDA ki asal hai baqi fasana hai
Ghairoon ne jo IMAM banaye thay chal basay
Zinda faqat hamara IMAM-E-ZAMANA(a.s) hai
Leta tamaam kaam woh apy WALI se hai,
Nisbat har ek IMAM ko NOOR-e-JALI se hai,
kul ikhtiyaar se diye HASSAN O HUSSAIN ko,
Deta KHUDA zroor hai milta ALI se hai.
Taqat-e-Matam-e-Shabbir say la ilm hay tu,,
Yai woh jadu hay jo aag per bhi chal jata hay,,
Jis dum kartay hain mawali aag per matam,,
Un ko kuch nahi hota aur tu jal jata hay..