Abhi tou zulm ka qissa tamaam hona hay.
Hussainiat ko abhi gaam gaam hona hay.
Jo ho raha hay sitam uski shaam hona hay.
Karo na fikr Zahoor-e-Imam hona hay.
Na Janay Khoobsorat kis Qadar THA WOH ALI ZADA(A.S)
Farishtay Deakhny Aatay thay US AHSAN NAMAZI (A.S) KO
jahan pe QASIM O AKBAR , SAJJAD JESE THAY
Wahan QAMR e BANI HASHIM Kaha Jata tha GHAZI (A.S) ko.
Ek Din Humare Aansu Hum Se Pooch Bethe
''''Humain Roz Roz Kyun Bulate Ho ? ''''
Hum Ne Kaha
''''Hum Naam-e-Hussain Lete HYn . . . Tum Khud Hii Chale Aate Ho''''
Bheja nahi tha SHAIR ko jung ke khayal se,
Lag jaati warna aag neher mein jalaal se,
Kat kat ke gire zulm ke parcham zamin par,
Tera alam jawan hain 1400 saal se.