Seenay me jo abbas k kadmo ki dhamak hy
Heabat in dhamak ki sir e aarsh talak hy
Yeh keh k guzarta hy garajta huwa badal
Bijli mairey Abbas k lehjay ki karak hy
Saja rakhi thi darya par ajab baraat pani ki
Bahut kerte the Ashrare yazidi baat pani ki
Magar sahil pe pahonche thokarain marien chale aye
Bata di Hazrat-e-Abbas ne Auqaat pani ki.