Quraan kay kalaam ko saheefa nahin kehtay
Sanjeeda hakeekat ko Lateefa nahin kehtay
Ham Dushman e Haider ko Shariat ki lughat main
kuch orr to kehtay hain Khaleefa nahin kehtay
Aabhi kuch or rahyen gay Imam parday me
K horahey hain qayamat k kaam parday me
Sehar say pehlay arezun ki maslihat hy yehi
Huzoor say ho salam o payam parday me