Ashoor ka dhal jana, Sughra(A.S) ka wo guzar jana,
Akber(A.S) teray seenay main, berchi ka utar jana,
Aye khoon-e-Ali Asghar(A.S) medan-e-qiamat main,
Shabir(A.S) ke chehray per kuch aur nikher jana,
Sajad(A.S) yeh kehtay thay, masoom Sakina(A.S) se,
Abbas(A.S) ke lashay se chup chap guzar jana,
nanhay se mujahid ko man nay ye nasihat ki,
Teeron ke muqabil bhi, bay khauf-o-khatar jana,
Ali ko rulaye ga ta hashr lahoo aksar
Zahra(AS) teri kaliyon ka sehra main bikhar jana
Har ibadaat hay meri yad e ali k saye me
kat rahi hy zindahi aulaad e ali k saye me
Moot khud mamoor hy meri hifazaat k liye
har ghari rehta hun main nad e ali k saye me
Nazar Gum hai Nazaro Ko Badi Takleef Hoti Hai
Baghair unke nazaro ko Badi Takleef Hoti Hai
Nabi Kehte The ye Aksar Ke Aksar Zikr e Haider Se
mere Kuch Jaan Nisaro Ko Badi Takleef Hoti hai
Ab is se barhke kya hai Fazilat HUSSAIN kee,
Jahan kar raha hai Midhat HUSSAIN Kee,
Hum lege Karbala ke Shahidon Ka Inteqam Mahshar me,
Jab lagegi adalat HUSSAIN kee.
Durood Zinda Hai Apna Salam Zinda Hai
Khuda K Saath Mohammad(SAWW)Ka Naam Zinda Hai
Tumhara To Koi Murda Bhi Ab Nahi Koi
Humein Hai Fakher K Humara Imam(A.S)Zinda Hai.