HuSSaiN Parhna

HuSSaiN Parhna
HuSSaiN Parhna , HuSSaiN Likhna
Khuloos-e-Dil ki Roshnaai le kar
Ba Deeda Tar Hussain Likhna
Tum Aisa karna Kitab-e-Dil ke
Waraq Waraq Par Hussain liknna

Huroof Khushboo ke Phool Ban kar
Tumhare Seenay Main Khil Uthainge
Tum aisa Karna Ke Apni Aankho''n
Aur Apne Lab Par Hussain liknna

Ye Pairh Saaray Ye Sab Parinde
Adab Se Sajda Karainge Unn ko
Tum Aisa Karna Ke Unn Hawao''n
Ki Jhaalaro''n Par Hussain liknna

Hussain likh Kar Phir Uss Ko Likhna
Phir Uss kO Likh kar tum Aisa Karna
Ke Aaj Tak Tum Ne Jo Bhi Likha HO
Tum Uss Ka MehWar Hussain liknna
  

Jun, 16 2010     574 chars (4 sms)     3296 views       Islamic

more Islamic SMS Messages

Na mit saka hay na mit sakay ga

sada HUSSAIN (a-s)
tera ye matam
Afzal hy kul
jahan se
ghrana
HUSSAIN ka

Nabion ka tajdar hy Nana HUSSAIN ka

1 pal ki thi bas hakomat yazeed ki

Sadian HUSSAIN ki hain zmana HUSSAIN ka.
Firown Ko Sedha Kabi Chalte Nahi Daikha

Girtay Huay Daikha Hay Sambhalty Nahi Daikha

ASGHAR Ki Tarah Maqsad e Islam Ki Khatir

Itna Kisi Bachay Ko Machalte Nahi Daikha
Yazeed Se Pucho k
Tera Raaj Kahan Hy ?

Wo Khoon Se Aaluda
Tera Taj Kahan Hy ?

Zinda Hy Hussain
Hamesha Hi Rahe Ga !

Yazeed La''anat k Siwa
Teri Yaad Aaj Kahan Hy ?
Khatam hai duniya ki tareekh-e-wafa Abbas(AS) par
Ibtida jis se bhi ho, haan inteha Abbas(AS) par
Saari duniya ko nuseri k Khuda par naaz hai
Naaz karta hai nuseri ka Khuda Abbas(AS) Par
Chaadar-e-Tatheer thora aur barh jaati agar
Ik siraa Zainab(SA) pe hota doosra Abbas(AS) Par
Kamal-e-Ishq Ali Markaz-e-Hayat Ali
Hey Bab-e-Ilm Ali Husn-e-Kainat Ali
Mila Khuda se Nabi ko Ali madad ban ker
Khuda ka raaz Ali hey Nabi ki zaat Ali
Woh jis ka naam he kafi hey magfirat kay liye
Woh mera deen Ali meri Hayat Ali
Mujhay lehad kay andheron se khof kyun ker ho
Mera Imam Ali hey meri Nijat Ali
Sun le Ye Ghaur Se Waiiz
Tu Kia, Tere Baap Ko Bhi
Jaiye Wiladat E Ali Par
Apne Sir Ko Jukana Parega
Ali(a.s) ke dar pe jo aata hay wo jaata nahain khali.
Ke is dar se hi hoti hay sab hi ki door bad hali.
Ali (a.s) pyar kitna hay meray Allah ko dekho.
Ali (a.s) ke dushmano ko dekh ke dozakh bana dali.
Allah Tallah Hum Sab Ko Sedhi Raah Pr Chalny Ke Taufeeq Ata Farmay
Ameen
HAPPY EID MILAAD-UN-NABI
Abhi tou zulm ka qissa tamaam hona hay.
Hussainiat ko abhi gaam gaam hona hay.
Jo ho raha hay sitam uski shaam hona hay.
Karo na fikr Zahoor-e-Imam hona hay.
Hazart Amam Hussain RA Ki Or Uke handan Ki Qurbaniyoo Se Hume Bohat Se Sabak Milatay Hain Jaise ...

ALLAH K Farman Pe Amal ,

Hazrat Muhammad SAW K Batye Hoye Rasto Par Chalna ,

Deen-e-Islam Ki Hifazat ,

Apne Upar Zabat ,

Haq Ka Sath ,

Sach K Liye Batil Se Jung ,

Sabar Ka Imthiaan ,

Zulam Ka Dat Kar Samna ,

Namaz Ki Ahmiyaat ,

Qurbani Or Jahad K Maqasaad ,

Shadat Ki Asli Roh ...



Orr Itna Kuch Jo Ais Msg Mai Pora Nahi Utar Ske ...

Humaye Bhi Ais Waqai Se Haq Ki Nashiat Le Kar ISLAM ko Aj Bachana Ha ..!!
mehki hui jannat k hawa khoob hai leken
Abbas(a s) k rozay k fiza sab seh alag hai
laao tou ata karnay main Abbas ka sani
bin hathoon seh denay k ada sab seh alag hai.......