Hazrat-e-Abbas(a.s.) shahay lafata k shair hain
khandaq_0_khaibaar k woh yai karbala k shair hain
kyoun na hoon her jang main yai misley haider fathayaab
woh khuda k shair yai shair_e_khuda k shair hain
Tareekh me duniyaTareekh me duniya ki wahid yehi manzar hy
Hansta huwa bacha hy roota huwa lashkar hy
Kya jang karun me insay Abbas e Jarii boley
In shaam ki foojon pe bhari maira Asghar hy
Nam-e-ghazi se khushbu-e-wafa aati hai.
Un k rozy sy Ya Hussain(A.S) ke sada aati hai.
Jab b bathay hain hum ABBAS kpercham k tale.
Aisa lagta hai janat ay hawa aati hai.
Mariyam se bhi Batool ko rutba siwa mila
Baba ussey Rasool sa khair ul wara mila
Baita her ik shaheed-e-rah-e-kibriya mila
Shauher mila tou khalq ka mushkil kusha mila
her aik apnay mertabay mein intekhaab hai
Zehra hain bemisaal Ali lajawaab hai
Ajab Shan Hy Hussain Tmhare Lashkar Ki Kahan Se Dhoondh K Lain Misaal ASGHAR Ki Sitara Ab B Fajar Ka Udaas Hota Hy Sunai Deti Hy Ab Bhi Azaan Akber Ki..