Aabhi kuch or rahyen gay Imam parday me
K horahey hain qayamat k kaam parday me
Sehar say pehlay arezun ki maslihat hy yehi
Huzoor say ho salam o payam parday me
Bheja nahi tha SHAIR ko jung ke khayal se,
Lag jaati warna aag neher mein jalaal se,
Kat kat ke gire zulm ke parcham zamin par,
Tera alam jawan hain 1400 saal se.
Allah woh bhi waqt zamaney me laye ga
Dhonday say bhi nishan na batil ka payega
Khamosh is tarhan say jo rahey gi Kitab e Haq
Duniya me bolta huwa Quran Ayega
Ye Muftian e Deen se Kehti hai Karbala
Bidaet Usi Ki Yaad jo jeena sikha gaya ?
Tum lakh se aik lal masjid na bacha sake
Mera Hussain poori shaiat bacha gaya