Jo nathiq e Qura''an ne diya nok e sina se
paigham wo dunya se mitay ga na mita hai
qanoon e Hussain ibne Ali(a.s) bar sir e sehra
Abbas(a.s) ne haatho ko qalam ker k likha hai
Jaam rag rag mein kamino ka laho ho jae
dard ke mare zamane se rafoo ho jae
Aal-e-Ahmed(A.S) se jala karte hein jin ke seene
mere Allah unhein "Bird Flu" ho jae
Hasan(AS) hai naam Konain ka Dulara hai
Khudaee aik taraf yeh khuda ka pyara hai
Ali(AS) ka noor-e-nazar Syeda(SA) ka lakht-e-jigar
Nabi(SAWW) ki aankhon ka pehla haseen tara hai