Hazrat-e-Abbas(a.s.)

Hazrat-e-Abbas(a.s.)
Hazrat-e-Abbas(a.s.) shahay lafata k shair hain
khandaq_0_khaibaar k woh yai karbala k shair hain
kyoun na hoon her jang main yai misley haider fathayaab
woh khuda k shair yai shair_e_khuda k shair hain
  

Jun, 15 2010     206 chars (2 sms)     2684 views       Islamic

more Islamic SMS Messages

Farzand-e-Ali Imam Hussain a.s. Ne Fermaya.

Aisay Shakhs Per Zulm Keray Say Muhtat Reho Jiss Ka ALLAH K Siwa Koe Na Ho
As''hab to Sabhi The Magar Waqt e Intiqal
Manga Tha Jab Nabi ne Qalam,Kyun Nahi Dya?
Bolay ye Intiqam Tha Khyber Ki Jang ka
Us Waqt Nabi ne Hamko Alam Kyun nahi dya ?

Zamane-e-Karbala Ka Kehna Kia

Faqt Zulm Ki Intiha Lekin HUSSAIN Ka Nara Kia

Dastan-e-Ajeeb Hai Khoon Ki Sitam Ki

Panjtan Kafi Karbala Ki Zameeno’n Ka Kehna Kia
jo Ali [a.s] ka na hoa kab hamara hoga wo to buss katib.e.taqdeer ka mara hoga jannat mien janay se rokay ga bhala ko hamein jab payaray Muhammad [PBUH] ka ishara hoga matam-e-Hussain par aey fatway laganay walon hashar mien dekhna kya hashar tumhara hoga tazira AL-E-MUHAMAD [A.S] ka no jis mien WAQAS aesy mehfil mien kahan apna guzara hoga''''
Humko Ali(as) Ke Ishq Ne Aala Banaadiya!!!!
Qatra Tha Hussain(as) Ne Dariya Bana Diya!!!!
Jab Maatami Libhaaz Kiya Humne Zeb-E-Tan!!!!
Humko Gham-e-Hussain(as) Ne Kaaba Banadiya!!
Tujh Ko Guzra Howa Ik Khwab Kar Doonga

Tery Her Dharkan Ko Azaab Kar Doonga

Itna Likkhoonga Bint-e-Zehra(sa) Ki Bay Ridai Pay

Ae Yazeediyat Tujhe Bay Niqaab Kar Doonga
"Ain" woh "Ain" k jis"Ain" say Ibadat ka saranjam hoa,
"Laam" woh "Laam" k jis "Laam" say ISLAM hoa,
"Ye" say Yawer hoay har ek mushkil mein,
SADQE Islam k kya khoob ALI naam hoa,
Anjam-e-Wafa Kia Hy
Socha Nahi Kerty

Momin Kabhi Halaat Se
Sauda Nahi Kerty

Ye Rasm Sikhai Hy
Hussain Ibn e Ali Ne

Sarr Sajde Mein Ho Tou
Teero''n Ki Parwah Nahi Kerty
Alam Abbas (a.s) Ka Jis Din Se Rakha Hai Ghar Main
Khud Hi Karbala Se Hokay Hawa Aati Hai

Na Mumkin Hai Mujhe Chulay Koi Bemari
Maray Ghar Lay Ke Hawa "Khak-e-Shifa" Aati Hai.
Ek Din Barray Ghroor Se Kehnay Lagi Zameen
Aya Meray Naseeb Mein Parchum HUSSAIN Ka.!!

Phir Chand Ne Kaha Mere Seenay K Daagh Dekh
Hota Hai Aasmaan Pe Bhi Maatam HUSSAIN Ka.!!
Zameen E Haq Pe Hasad Se Shigaaf Mat kijeay
Amal ko Hukum E Khuda k Khilaaf Mat Kijeay
ALi(a.s) Ka Bughz Mila Hai Agar wirasat me
Tu Kaba Ghar hai ALi(a.s) Ka Tawaaf Mat kijeay
Munker kMunker ke dil pehe dil peh zarb-e-Khuda Ya Ali (A.S) Madad
Momin ko kibriya ki ata Ya Ali (A.S) Madad

BismilAllAh jis ne jab bhi kaha Aur jahan kaha
Darasal us basher ne kaha Ya Ali (A.S) Madad