BOLO TO KARBALA

BOLO TO KARBALA
BOLO TO KARBALA K HUSSAINI SIPAHIO
KISS BAAT PER AJAL KO GALE SE LAGA LIA
BARH BARH KAR BARCHIYON SE LIPATNA DALIL HAI
TUM NE KHUDA HUSSAIN A.S KI ANKHON MAIN PA LIA
  

Jun, 16 2010     169 chars (2 sms)     2787 views       Islamic

more Islamic SMS Messages

itni c bus hikayat-e-EHD-e-ZAMANA hai
HUJJAAT KHUDA ki asal hai baqi fasana hai
Ghairoon ne jo IMAM banaye thay chal basay
Zinda faqat hamara IMAM-E-ZAMANA(a.s) hai
Zameen E Haq Pe Hasad Se Shigaaf Mat kijeay
Amal ko Hukum E Khuda k Khilaaf Mat Kijeay
ALi(a.s) Ka Bughz Mila Hai Agar wirasat me
Tu Kaba Ghar hai ALi(a.s) Ka Tawaaf Mat kijeay
Marefat Unkao milti hy,
Jinki Akido''n me YAKEEN hota hy

Dikhawe se kuch nahi hota
Pairwi-e-Ahlebayt se Parwaz-e-Jannat hota hy
Hazrat-e-Abbas(a.s.) shahay lafata k shair hain
khandaq_0_khaibaar k woh yai karbala k shair hain
kyoun na hoon her jang main yai misley haider fathayaab
woh khuda k shair yai shair_e_khuda k shair hain
Hassan ko Badshah khas o Aam kehte hain
Ali ka Naaib o Qaim Muqaam kehte hain
Daleel aik hi kafi hai unki Azmat may
unhe Hussain bhi apna Imam kehte hain
Daagh e Matam jo seenay se laga rakkha hai
Dil ko Mola ka aza khana bana rakkha hai
Mushkilo soch k aana mere ghar ki jaanib
Meine Ghazi(AS) ka alam ghar pe laga rakkha hai
Momin ki har sada ko taira intezar hay
eman ki baqa ko taira intezar hy
phr sajda e hussain ki hayat hay deen ko
aa ja ka la ilha ko taira intezar hy
parda hata k daikh mairey daur k hussain
haan aab bhi karbala ko taira intezar hy
Baichain zulfiqar hy beetab murtajis
Abbas e bawafa ko taira intezar hy
Tu hi suna sakay ga sahi maqtal e hussain
Har majlis e azza ko taira intezar hy
Karbala De Rahi Hai Musalsal Sada
Muntazir jane Kab Se Hai Ahle Wila

Jald ho Ab Zahoor e Imam e Zamam
Ay Khuda Hai Yehi Aarzoo e Wafa
Aaye baghe askari k muqadas tareen phool
Aaye kaaba e fikro nazar aa kibla e asool
Aa hum say bhi khiraj e dil o jaan Kijye wasool
Mola tairey bagair hum ko qayamat nhn qabool
Jannat me maalo zar na hukumat k wastay
hum ji rahey hyn teri ziyarat k wastay
Beshak jo log bin dekhe apne rab se darte hain un k lye bakhshish aur bahut bara ajar e azeem hai .(surah mulk-12)
Hadees!

Hazrat Abu Huraira (R.A) se Riwayat hai K
Rasool-e-Akram (S.A.W.W) ne Farmaya,
1 Dinaar Woh Hai Jo Tu ne ALLAH ki Raah mein Kharch Kar Diya

Aur
1 Dinaar Woh Hai Jo Tu Ne Ghulaam Aazad Karne mein Sarf Kiya

Aur
1 Dinaar Woh Hai Jo Tu ne Miskeen par Sadqa Kiya

Aur
1 Dinaar Woh Hai Jo Tu Ne Apne Ehl-o-Ayaal par Sarf kiya.

In Mein Sab se Zyada Bayis-e-Ajr-o-Sawaab Woh Hai
Jo tu ne Apne Ehl-o-Ayaal par Sarf Kiya. {Muslim Sharif}
Ikhtiyar, taqat aur daulat milne par log badaltey nahin
balkey be-naqaab ho jatey hein
Hazrat Ali (A.S)