Kamal-e-Ishq Ali Markaz-e-Hayat Ali
Hey Bab-e-Ilm Ali Husn-e-Kainat Ali
Mila Khuda se Nabi ko Ali madad ban ker
Khuda ka raaz Ali hey Nabi ki zaat Ali
Woh jis ka naam he kafi hey magfirat kay liye
Woh mera deen Ali meri Hayat Ali
Mujhay lehad kay andheron se khof kyun ker ho
Mera Imam Ali hey meri Nijat Ali
Hasan(AS) hai naam Konain ka Dulara hai
Khudaee aik taraf yeh khuda ka pyara hai
Ali(AS) ka noor-e-nazar Syeda(SA) ka lakht-e-jigar
Nabi(SAWW) ki aankhon ka pehla haseen tara hai
Jo Na Pekar-e-Mawaddat Mein Dhaley Ga
Taa-Abad Aatish-e-Dozakh Mein Jaley Ga
Rakh Jeib Mein Ishq-e-Ali Ka Zar-e-Khalis
Sikka Yehi Bazar-e-Qayamat Mein Chaley Ga
Fanaa k Baad b is Rasam Ko nibhaein gein
Lahad mein ja k b hum tera Ghum Manaein gein
Nishaaan ABBASS ka turbat pe hum laga dein gein
Hussain teri sadaqat pe sir kata dein gein.
Seenay me jo abbas k kadmo ki dhamak hy
Heabat in dhamak ki sir e aarsh talak hy
Yeh keh k guzarta hy garajta huwa badal
Bijli mairey Abbas k lehjay ki karak hy