Quraan kay kalaam ko saheefa nahin kehtay
Sanjeeda hakeekat ko Lateefa nahin kehtay
Ham Dushman e Haider ko Shariat ki lughat main
kuch orr to kehtay hain Khaleefa nahin kehtay
Dasht-e-Bala ko Arsh ka Zeena Bana diya
Jungle ko Mustafa ka Madina Bana Diya
Har Zarrey ko Najf key Nagina Bana Diya
Aye Husain Tum ney Marney ko Jeena Bana Diya
Fanaa k Baad b is Rasam Ko nibhaein gein
Lahad mein ja k b hum tera Ghum Manaein gein
Nishaaan ABBASS ka turbat pe hum laga dein gein
Hussain teri sadaqat pe sir kata dein gein.
Bayt Ya Sir Yehi Tha Taqaza Yazeed Ka
Mayus To Hussain ne Usko Bhi na Kya
Bayt Na Ki Hussain Ne , Sir De Dya Use
Is Sar se To Yazeed Bhi Khali Nahi Gaya