Momin ki har sada ko taira intezar hay
eman ki baqa ko taira intezar hy
phr sajda e hussain ki hayat hay deen ko
aa ja ka la ilha ko taira intezar hy
parda hata k daikh mairey daur k hussain
haan aab bhi karbala ko taira intezar hy
Baichain zulfiqar hy beetab murtajis
Abbas e bawafa ko taira intezar hy
Tu hi suna sakay ga sahi maqtal e hussain
Har majlis e azza ko taira intezar hy
Kuch barhami hai zara is noor-e-ain main
Milta hai iztiraab yunhi dil k chain main
Selaab dekhta hoon tou ata hai ye khyal
Pani bhatak raha hai talash-e-HUSAIN main
Bayt Ya Sir Yehi Tha Taqaza Yazeed Ka
Mayus To Hussain ne Usko Bhi na Kya
Bayt Na Ki Hussain Ne , Sir De Dya Use
Is Sar se To Yazeed Bhi Khali Nahi Gaya
Quraan kay kalaam ko saheefa nahin kehtay
Sanjeeda hakeekat ko Lateefa nahin kehtay
Ham Dushman e Haider ko Shariat ki lughat main
kuch orr to kehtay hain Khaleefa nahin kehtay
Ye Aitbaar Meri Zindagi Ka Haasil Hai
Ibaadaton Ke Safar Ki Hussain Manzil Hai
Namaz Main Bhi Tasavvur Hussain Ka Rakho
Ya Ye Kaho Ke Nabhi Ki Namaz Baatil Hai
Dasht-e-Bala ko Arsh ka Zeena Bana diya
Jungle ko Mustafa ka Madina Bana Diya
Har Zarrey ko Najf key Nagina Bana Diya
Aye Husain Tum ney Marney ko Jeena Bana Diya
Jo nathiq e Qura''an ne diya nok e sina se
paigham wo dunya se mitay ga na mita hai
qanoon e Hussain ibne Ali(a.s) bar sir e sehra
Abbas(a.s) ne haatho ko qalam ker k likha hai
Kisi bhi Bazm-e-Mahfil main jana Ali Ali kahna
Wajood apna batana to Ali Ali kahna
Farishte tum se karain jo sawal Turbat main
Koi jawab na denaa Ali Ali kahna
Jisi Ali(a.s) kii muhabat ka aitraaf nahi ..
Laakh Sajday karay koi Gunnah maaf nahi ..
Badan pe Jama-e-Ahraam Dil mai Bughz-e-Ali,
YE Kabba pak k phairy tu hai tawaf nahi ...