Durood Zinda Hai Apna Salam Zinda Hai
Khuda K Saath Mohammad(SAWW)Ka Naam Zinda Hai
Tumhara To Koi Murda Bhi Ab Nahi Koi
Humein Hai Fakher K Humara Imam(A.S)Zinda Hai.
Quraan kay kalaam ko saheefa nahin kehtay
Sanjeeda hakeekat ko Lateefa nahin kehtay
Ham Dushman e Haider ko Shariat ki lughat main
kuch orr to kehtay hain Khaleefa nahin kehtay
Insaan ki Jabeen Pay Sitaray sajjadiyay.!!
Zakhmoon say Phool Dasht-e-Ballah main Khila Diyay..!
Nok-e-sina pay bool kay mairey Hussain(A.s) nay.!
Tareekh Ki Zaban pay tallay laga diyay..!