Kuch Barhami Hai Zara Is Noor-E-Ain Main Milta Hai Iztiraab Yunhi Dil K Chain Main Selaab Dekhta Hoon Tou Ata Hai Ye Khyal Pani Bhatak Raha Hai Talash-E-HUSAIN Main..
Jo Na Pekar-e-Mawaddat Mein Dhaley Ga
Taa-Abad Aatish-e-Dozakh Mein Jaley Ga
Rakh Jeib Mein Ishq-e-Ali Ka Zar-e-Khalis
Sikka Yehi Bazar-e-Qayamat Mein Chaley Ga
Jaltay Kyon Ho Ali a.s Kay Kamalaat Dekh Ker
iZZat Khuda Bhi Detaa Hay Auqaat Dekh Ker
Milti Jo Aesay WeSoon Ko Hilti Na ZulfiQaaar
TalWar Haq Nay Di Hay Magar Hath Dekh Ker
BOLO TO KARBALA K HUSSAINI SIPAHIO
KISS BAAT PER AJAL KO GALE SE LAGA LIA
BARH BARH KAR BARCHIYON SE LIPATNA DALIL HAI
TUM NE KHUDA HUSSAIN A.S KI ANKHON MAIN PA LIA
Apnay Dukhoon mein aya jo SHAHBIR(A.S) ka khayal
Shikwa tarap ke shukar mein tabdeel hogaya
Har ghum mein KARBALA ne sahara diya humay
Har ghum GHUM e HUSAIN(A.S) mein tehleel ho gaya
Milta nahi hai koi sahara yazeed ko
BIBI(A.S) ne is tarha se ujara yazeed ko
Khatoon thi is liye jung kar nahi sakti
Khutboo k zulfiqar se mara yazeed ko