As''hab to Sabhi The Magar Waqt e Intiqal
Manga Tha Jab Nabi ne Qalam,Kyun Nahi Dya?
Bolay ye Intiqam Tha Khyber Ki Jang ka
Us Waqt Nabi ne Hamko Alam Kyun nahi dya ?
Hasan(AS) hai naam Konain ka Dulara hai
Khudaee aik taraf yeh khuda ka pyara hai
Ali(AS) ka noor-e-nazar Syeda(SA) ka lakht-e-jigar
Nabi(SAWW) ki aankhon ka pehla haseen tara hai
Allah woh bhi waqt zamaney me laye ga
Dhonday say bhi nishan na batil ka payega
Khamosh is tarhan say jo rahey gi Kitab e Haq
Duniya me bolta huwa Quran Ayega
Jaltay Kyon Ho Ali a.s Kay Kamalaat Dekh Ker
iZZat Khuda Bhi Detaa Hay Auqaat Dekh Ker
Milti Jo Aesay WeSoon Ko Hilti Na ZulfiQaaar
TalWar Haq Nay Di Hay Magar Hath Dekh Ker