SALAM YA HUSSAIN A.S

SALAM YA HUSSAIN A.S
Zikar-e-Shabbir (A.S) ko Dhamako se dabanay walay,

Kitne nadan hain SHIYON ko daranay walay,

Ghaib se aati hai ab bhi yeh sada-e-Mehdi (A.S)

Zikar-e-Shabbir karo HUM hain bachanay walay..

**SALAM YA HUSSAIN A.S**
  

Jun, 16 2010     225 chars (2 sms)     18442 views       Islamic

more Islamic SMS Messages

Us Roz Ek Ghair Bhi Apna Laga Mujhay
Us ne Kaha HUSSAIN to Acha Laga Mujhay

6 Mahh Kay Sagheer Nay Kia Kad Barha Lia
Aur Woh Jo Hurmala Tha Woh Bacha Laga Mujhay

Jo log satate thay Aal''e Nabi(AS) Ko

Dunya mein wohi musibat mein pare hain

JIn logon nay bandha tha tere hathon ko Zainab

Masjid mein wohi log bandhe Hath khare hain
Kaeb-o-Bala Naseeb Se Jana Naseeb Ho

Phir Laut K Wahan Se Na Aana Naseeb Ho

Aisa Dar-e-Hussain Pe Sajda Ho Aakhri

K Mujh Ko Apna Sir Na Uthana Naseeb Ho
Jab Tumhara Dil Gunah ke Kamon mein Lagna Shuro ho Jaye to Yeh is Baat ki Daleel hai ke Tumhara Rab Tum se Naraz hai…’
Hazrat Ali (Razi Allah ta-ala Anho)
Nabi Ke Baad To Rehbar Bana Dye Laikin
Kahin Ghadeer Sa Mimbar Mile To le Aaao

Ali Ki Baat Bari Hai, Ali To Mola Hain
Jawab e Hazrat e Qambar mile to le Aao
Hasan(AS) hai naam Konain ka Dulara hai
Khudaee aik taraf yeh khuda ka pyara hai
Ali(AS) ka noor-e-nazar Syeda(SA) ka lakht-e-jigar
Nabi(SAWW) ki aankhon ka pehla haseen tara hai
jo bhi Darakht-e-Bughz-e-Ali mein ataak gaya
wo shakhs Rahe-e-Den-e-Khuda say bhatak gaya
Kausar ki simt Shaikh jee Lapkey to they mager
Saqi Ali hei deakh ker Chera Latak gaya
Mehraab par Ali(AS) hein to mimbar pe bhi Ali(AS)
Ka''aba gawaah dosh-e-Payambar(SAWW) pe bhi Ali(AS)

Khandaq, Uhad, Hunain to Khaibar mein bhi Ali(AS)
Hijrat ki shab Rasool(SAWW) k bistar pe bhi Ali(AS)

Har jaa Ali(AS) mileingay na daaman bachaiye
Bachna Ali(AS) se hai to jahannum mein jaaiye
Hassan ko Badshah khas o Aam kehte hain
Ali ka Naaib o Qaim Muqaam kehte hain
Daleel aik hi kafi hai unki Azmat may
unhe Hussain bhi apna Imam kehte hain
Karbla Ko Karbala Ki Shan Per NAZ Hai ..

Us Nawase Pe Mohummad Mustafa (SAWW) Ko NAZ Hai ...

Yu Tu Lakhon Ne Sajdy Kiye Per

" Hussain" Ne Wo Sajda Kiya Jis Pe Khuda Ko NAZ Hai
Bayt Ya Sir Yehi Tha Taqaza Yazeed Ka
Mayus To Hussain ne Usko Bhi na Kya
Bayt Na Ki Hussain Ne , Sir De Dya Use
Is Sar se To Yazeed Bhi Khali Nahi Gaya
Zikre-e-Shabbir Dhamakon sey Dabaney Waley
Kitney Nadaan hain Shion ko Daraney Waley
Ghaib sey aati hai ya Sada-e-Mehdi (AS)
Zikre-e-Shabbir Karo hum ney bachaney waley