Seenay me jo abbas k kadmo ki dhamak hy
Heabat in dhamak ki sir e aarsh talak hy
Yeh keh k guzarta hy garajta huwa badal
Bijli mairey Abbas k lehjay ki karak hy
Durood Zinda Hai Apna Salam Zinda Hai
Khuda K Saath Mohammad(SAWW)Ka Naam Zinda Hai
Tumhara To Koi Murda Bhi Ab Nahi Koi
Humein Hai Fakher K Humara Imam(A.S)Zinda Hai.
Taqat-e-Matam-e-Shabbir say la ilm hay tu,,
Yai woh jadu hay jo aag per bhi chal jata hay,,
Jis dum kartay hain mawali aag per matam,,
Un ko kuch nahi hota aur tu jal jata hay..
Insaan ki Jabeen Pay Sitaray sajjadiyay.!!
Zakhmoon say Phool Dasht-e-Ballah main Khila Diyay..!
Nok-e-sina pay bool kay mairey Hussain(A.s) nay.!
Tareekh Ki Zaban pay tallay laga diyay..!
Be Amal Dil Ho To Jazbat Se Kia Hota Hai
Zameen Banjar Ho To Barsat se Kia Hota Hai
Na Ho Jis Dil Me Ali e Murtaza Ka Ishq
Ayy Musalman In Ibadat Se Kia Hota Hai ?