"Ain" woh "Ain" k jis"Ain" say Ibadat ka saranjam hoa,
"Laam" woh "Laam" k jis "Laam" say ISLAM hoa,
"Ye" say Yawer hoay har ek mushkil mein,
SADQE Islam k kya khoob ALI naam hoa,
ALI (a.s) Wali bhe hai or ALI (a.s) Asool bhe hai
ALI (a.s) Imam bhe hai shoher-e-Batool (s.a) bhe hai
Agarchay YA ALI (a.s) kehna haram Mazallah!!
To is Gunnah may shamil tera Rasool (a.s) bhee hai
As''hab to Sabhi The Magar Waqt e Intiqal
Manga Tha Jab Nabi ne Qalam,Kyun Nahi Dya?
Bolay ye Intiqam Tha Khyber Ki Jang ka
Us Waqt Nabi ne Hamko Alam Kyun nahi dya ?
Aashoor ko diye se hawa bool rahi ha,
bujh kar bhi tum main rooh e baqa bool rahi ha,
aawaz di chiragh e imamat k noor ney,
Imran k lahoo ki zia bool rhi ha