Abbas(as) Tajdaar-e-Wafa

Abbas(as) Tajdaar-e-Wafa
Abbas(as) Tajdaar-e-Wafa Arjumand hain
Aisay Khuda pasand khudi ko pasand hain
Panjay Alam pay nasb hain Dunya yeh dekh lay
Ghazi k Haath kat k bhi kitnay buland hain.
  

Jun, 16 2010     171 chars (2 sms)     2446 views       Islamic

more Islamic SMS Messages

Na Janay Khoobsorat kis Qadar THA WOH ALI ZADA(A.S)
Farishtay Deakhny Aatay thay US AHSAN NAMAZI (A.S) KO
jahan pe QASIM O AKBAR , SAJJAD JESE THAY
Wahan QAMR e BANI HASHIM Kaha Jata tha GHAZI (A.S) ko.
Jab bhi jo deta hai Laraib jali deta hai
Khud kabhi aur wasilay se kabhi deta hai
Mang leta hoon to lay aata hai khaliq se magar
Mujh ko dunya mein mera rizq Ali(as) deta hai
Jab Subha Utho to Kalma Tayyba Parho
Kyon k Marne k baad jab Qabar Mai Farishte
Hum Se sawal jawab karne Aengay or humain Utthaengy or Pochhengy
K tumhara RAB kon Hai?
Tumhara DEEN kya hy?

To hum Apni Aadat k mutabiq Kalma Tayyaba Parte Hue Utthengy
Or Kalma Tayyaba Mai He un Farishton k Sawalon k Jawab Mojod Hen.
Allah woh bhi waqt zamaney me laye ga
Dhonday say bhi nishan na batil ka payega
Khamosh is tarhan say jo rahey gi Kitab e Haq
Duniya me bolta huwa Quran Ayega
Tumhare hijr ko wo inteha na keh bethein
Kaheen janab ko wahdat saraa'' na keh bethein
Wajood rakhte huey bhi dikhaii dete nahi
Ae Mola bande tujhi ko Khuda na keh bethein
Zameen E Haq Pe Hasad Se Shigaaf Mat kijeay
Amal ko Hukum E Khuda k Khilaaf Mat Kijeay
ALi(a.s) Ka Bughz Mila Hai Agar wirasat me
Tu Kaba Ghar hai ALi(a.s) Ka Tawaaf Mat kijeay
Jise Bhi Roza e Abbas ka Deedar HoJaye

HAqeeqat me Usi Ko Khuld Ka Deedar Hojaye

Me Samjhoonga Mujy Har Marz Se Doori Mayassar Hai

Mera Dil Ishq E Ghazi Me Agar Beemar Hojaye
Maut K Darya Main Har Ek Khushk-o-Tar Reh Jayega
Haan Faqat Naam-e-Hussain Ibn-e-Ali Reh Jayega . . .
Tamanah yeh mere ta umar-e- zindagi rahe gi
Her namaz main bas yehi dua Allah kay guzar rahe gi
Shamil mujhe karley MOla apni foj main
Phir dekhna kis Munkir-e-Ali(A.S) ki garden dhar per rahe gi
apne khayalon ki hifazat kro kyun k ye tmhare ilfaz bn jate hn.

apne ilfaz ki hifazat kro kyun k ye tmhare amal bn jate hn

apne amal ki hifazat kro kyun k ye tmhare kirdar bn jate hn

apne kirdar ki hifazat kro kyun k tmhara kirdar tmhari pehchan hota h

Jabeen-e-Ibn-e-Ali Ki Niaaz Jari Hai

KHUDA K Deen Ki Umr-e-Draz Jari Hai

Sajde Me Rakh Ker Sir Ko Na Uthaya HUSSAIN Ne

Maire Husaain Ki Ab Tak Namaz Jari Hai . . .
Ek Din Humare Aansu Hum Se Pooch Bethe
''''Humain Roz Roz Kyun Bulate Ho ? ''''
Hum Ne Kaha
''''Hum Naam-e-Hussain Lete HYn . . . Tum Khud Hii Chale Aate Ho''''