Zameen E Haq Pe Hasad Se Shigaaf Mat kijeay
Amal ko Hukum E Khuda k Khilaaf Mat Kijeay
ALi(a.s) Ka Bughz Mila Hai Agar wirasat me
Tu Kaba Ghar hai ALi(a.s) Ka Tawaaf Mat kijeay
Be Amal Dil Ho To Jazbat Se Kia Hota Hai
Zameen Banjar Ho To Barsat se Kia Hota Hai
Na Ho Jis Dil Me Ali e Murtaza Ka Ishq
Ayy Musalman In Ibadat Se Kia Hota Hai ?
Mumkin nahi hai kisi sy adaawat Hussain(A.S) ki.
Sansoon mein but rahi hai sakhawat Hussain(A.S) ki.
Bazar k Khajoom se keh do chup rahe.
Quran kar raha hai talawat Hussain(A.S) ki.
Namaz main"RUKU" k baad or "SAJDEY" se pehle sakoon se seedha khara hona wajib hai. Is halat ko "QOMA" kehte hain. Issi trha dono sajdon kjdoon ke darmiansakoon se seedha baithna bhi "WAJIB" hai Is halat ko "JALSA" kehte hain
Apnay Dukhoon mein aya jo SHAHBIR(A.S) ka khayal
Shikwa tarap ke shukar mein tabdeel hogaya
Har ghum mein KARBALA ne sahara diya humay
Har ghum GHUM e HUSAIN(A.S) mein tehleel ho gaya