Dard-e-alam ka

Dard-e-alam ka

Dard-e-alam ka markaz-e-ehsaas bangaee
bay aas kafeley ke liye aas bangaee

din dhal gaya tu sham-e-ghareeba''n ke saath hi
Beti Ali ki Hazrat-e-Abbas bangaee
  

Jun, 15 2010     165 chars (2 sms)     2727 views       Islamic

more Islamic SMS Messages

Hasan(AS) hai naam Konain ka Dulara hai
Khudaee aik taraf yeh khuda ka pyara hai
Ali(AS) ka noor-e-nazar Syeda(SA) ka lakht-e-jigar
Nabi(SAWW) ki aankhon ka pehla haseen tara hai
Pani ki Talab ho to ek kaam kiya kar

Karbala ke Naam pe ek jaam piya kar

Ki mujh ko Hussain Ibn e Ali (A.S.) ne yeh Nasihat

Zalim ho Muqabil to mera Naam liya kar
Kehtay hain barey fakhr say hum ghum nhn kartey
Matam ki sada suntay hyn matam nhn kartay
Woh log bhaala samjheyn gay kya raaz e shahadat
Jo eid to kartay hain muharrum nhn kartey
Kyun aap ka dil jalta hy kyun jalta hy seenaa
Hum aap k seenay par to matam nhn kartey
Aajiz yehi mashoor haqiaqat hy jahan me
Qatil kabhi maqtool ka matam nhn kartaay
Kisi Ko Ishq E Ali Chain Se Sulaataa Hai

Kisi Ko Bugze Ali GHAAR me Rulata
Andaz-e-Bandagi Hy
Nirala HUSSAIN Ka

Sajdo''n Me Lajawab Hy
Sajda HUSSAIN ka

Be-daagh Zindagi Ka Yehi
Tou Kamal Hy

Har Shaks Parh Raha Hy
Qaseeda HUSSAIN Ka
Jo BOTURAB K Qadmo''n Ki Khaak Ho Jata

Qasam Khuda Ki Wo Hii Shaks Pak Ho Jata

Ye Baat Kis Ne Kahi Pochiye MOarikh Se ?

Ali Na Hote Tou Main Bhi Halaak Ho Jata
Kia Jalwa Karbala Mein
Dikhaya HUSSAIN Ne
Sajde Mein Ja k Sar
Kataya HUSSAIN Ne
Naize Pe Sar Tha Aur
Zubaan Pr Aayatei?
QURAAN Is Terha
Sunaya HUSSAIN Ne
NANA k DEEN Pe Har
Cheez Waar Dii
Kuch Na Apne Paas
Bachaya HUSSAIN Ne
Kyun AAQA (S.A.W.W) Ko
Na Apne Nawasey Pe
Naaz Ho
Har QAUL
MUSTAFA (S.A.W.W) Ka
Nibhaya HUSSAIN Ne,.
Hussain Teri
Taazeem Ja-Baja Hogi

Yazeed Teri Tazleel
Barmala Hogi

Har Ek K Dil Pe Lagi Hy
Gham-e-Hussain ki Mohar

Agar Shikast Ye Hi Hy
Tou Fatah Kia Hogi ??
Wafa ko naaz hai jis par usay Abbas(AS) kehte hein
Lagay jo Saani-e-Haider(AS) usay Abbas(AS) kehte hein
Alam patthar pe jo gaaray usay kehte hein sab Haider(AS)
Alam gaaray jo pani par usay Abbas(AS) kehte hein
Durood Zinda Hai Apna Salam Zinda Hai
Khuda K Saath Mohammad(SAWW)Ka Naam Zinda Hai
Tumhara To Koi Murda Bhi Ab Nahi Koi
Humein Hai Fakher K Humara Imam(A.S)Zinda Hai.
TERE DIL MAIN KAISI GIRAH PARI TUJHAY US SE ITNA HASAD HAI KYUN?

JO NABI(S.A.W.) KI AANKH KA NOOR HAI JO ALI KI ROOH KA CHAIN HAI

KABHI DEKH APNE KHAMEER MAIN KABHI POOCH APNE ZAMEER SE

WO JO MIT GAYA WO YAZEED THA, JO NA MIT SAKA WOH HUSSAIN HAI

jo maatam ke sada say ghar sada anjaan rehta hhai

wahan rehmat nahi hoti wahan shaitaan rehta hai

khuda bhi door rehta hai farishtay bhi nhai atay

jahan majlis nahiii hoti wo gher weeran rehta hai