Jaltay Kyon Ho Ali a.s Kay Kamalaat Dekh Ker
iZZat Khuda Bhi Detaa Hay Auqaat Dekh Ker
Milti Jo Aesay WeSoon Ko Hilti Na ZulfiQaaar
TalWar Haq Nay Di Hay Magar Hath Dekh Ker
Kuch barhami hai zara is noor-e-ain main
Milta hai iztiraab yunhi dil k chain main
Selaab dekhta hoon tou ata hai ye khyal
Pani bhatak raha hai talash-e-HUSAIN main
Ali(a.s) ke dar pe jo aata hay wo jaata nahain khali.
Ke is dar se hi hoti hay sab hi ki door bad hali.
Ali (a.s) pyar kitna hay meray Allah ko dekho.
Ali (a.s) ke dushmano ko dekh ke dozakh bana dali.
Leta tamaam kaam woh apy WALI se hai,
Nisbat har ek IMAM ko NOOR-e-JALI se hai,
kul ikhtiyaar se diye HASSAN O HUSSAIN ko,
Deta KHUDA zroor hai milta ALI se hai.
Mola Abbas(A.S)ka Banda Hun
Ghunah Ghaar Bhi Hun
Doozakh Me Naa Jaaaoo Ga
Khata Kaar Bhi Hun
Ager Kheench Ker Lay Bhi Gaye 10 20 Malaaiek!
Aag Ro Ro Ker Bhujaa Dunga
Azaadaar Bhi Hun