Sar gair k Aage na

Sar gair k Aage na
Sar gair k Aage na jukane wala

Aur Nezey pey bhi Quraan sunaney wala

Islam se kya poochte ho kon Hussain

Islam ko Islam banane wala . . .
  

Jun, 16 2010     147 chars (1 sms)     2687 views       Islamic

more Islamic SMS Messages

Hussain (R.A) Teri Ataa Kaah Chashma Dilo’n K
Daman Bigho’n Rahaa Hai Yeah Aasman Par
Udaas Badal Teri Muhabbat Me Ro Raha
Hai Sabaa Be Joh Guzre Karbalaa Say
Toh Usay Kehta Hai Aarssh Wala
Tu Aur Dheere Guzaar Yahan
Mera Hussain Soo Raha Hai
Namaz main"RUKU" k baad or "SAJDEY" se pehle sakoon se seedha khara hona wajib hai.
Is halat ko "QOMA" kehte hain.
Issi trha dono sajdon kjdoon ke darmiansakoon se seedha baithna bhi "WAJIB" hai
Is halat ko "JALSA" kehte hain
Dil ki basti mein karbala barpa
Lashay yadon k khaak mein ghiltan
Kheima-e-Fiqr zad pe shoalon ki
Harf sajda kunan hain honton per
Har taraf al-atash ki awazein
Maan nezon pay hain tarazu huey
Dharkno k galu pay khanjar hai
Khab k sar say chin chuki hai rida
Bain uthtay hain dil ki nagri say
Pyar ki alqama pay pehray hain
Zeest ko daan abla pai
Dast-e-Qatil mein zulf subha ki
Ashk arzan huey hain palkon pay
Phir Muharram kaa chand nikla hai..
Ta'ajjub Hai:

KHUDA Apni Itni Sari Makhlooq Me Se Bhi
Meri Choti Se Choti Zaroorat Nhi Bhoolta.

Or

KHUDA To Ek Hi He,
Phir Bhi HUM Use Bhool Jate Hain.
Maut K Darya Main Har Ek Khushk-o-Tar Reh Jayega
Haan Faqat Naam-e-Hussain Ibn-e-Ali Reh Jayega . . .
Assalam-O-Alaikum!

MAH-E-RAJAB-UL-MURAJJAB ka wazeefa manderja zail hai mulahiza frmaea.



1:Rozana Baad Namaz Isha 2 rakat nafal Salat-u-tuba aur 2 rakat nafal
Salat-ul-Hajat Parha Karain



2:DAILY 1200 TIMES RECITE ALLAH-US-SAMMAD (Surah Ikhlas, 30 para, 2nd Ayat)ANY
TIME & MAKE

PRAY FROM YOUR LORD THE ALMIGHTY ALLAH AZZOWAJAL.

ROZANA KSI BHE WQT 1200 MARTABA ALLAH-O-SAMMAD (Surah Ikhlas, 30 para, 2nd Ayat)
PADH KR APNAY RAB SAY DUA KRAIN INSHALLAH AZZOWAJAL DUA ZAROOR QABOOL HO GI.

Is Wazifay ki fazilat say bigray kaam ban jain gay, anay wali musibatain tal
jain gi aur hazaar ha fawaid milain gay.






See/Print Wazifa In Urdu/Arabic.
Kisi bhi Bazm-e-Mahfil main jana Ali Ali kahna
Wajood apna batana to Ali Ali kahna
Farishte tum se karain jo sawal Turbat main
Koi jawab na denaa Ali Ali kahna
Aye mah-e-ramzan aahista chalna
humen khasa qaraz chukana hai,

kuch khuwab hai jinko likhna hai
aur taaberon ko pana hai,

kuch log hain ujray dil wale
un sab main pyar basana hai,

aur khiza raseda aangan main
ab aman ka beej lagana hai,

or rab ko humen mana'na hai
humen khasa qaraz chukana hai...
Us Roz Ek Ghair Bhi Apna Laga Mujhay
Us ne Kaha HUSSAIN to Acha Laga Mujhay

6 Mahh Kay Sagheer Nay Kia Kad Barha Lia
Aur Woh Jo Hurmala Tha Woh Bacha Laga Mujhay

Na Maujza hai kerbala , Na Haddssa Hai Kerballa
Jo Khoon Say Likha Gaya woh Faislla Hai Kerballa

Her aik ''Jabbr'' kay Khilaf Khair Kay Muhaz per
Jo Mustakil Bappa Rahay woh Ma''rka Hai Kerballa

Sanan-o-Khanjjr-o-Kamaan , Mashq-o-Chadder-o-alum
Nishaniooon Ka Ajjab, silsalla hai Kerballa.
What is raining? Blood.
Who? The eyes.
How? Day and night.
Why? From grief.
Grief for whom?
Grief for the king of Karbala''
Aazan DainGi Tumhari Aankhain
Tumhaare Misray Adaa Karain Gi
Tum Aisa Karna K Rah-e-Haqq Main
Hussain Parh kar Hussain liknna

Wo Barchiyan Wo Chamaktay KhanJar
wo TapTay Sehraa Pukaartay hain
Tum Aisa Karna K KarBalaa ke
Badan Pe Ja Kar Hussain liknna

Agar Kitaabat Ka Shauq Ho to
Kitaab-e-Sabar-0-Razaa Main Rahat
Jahan Shaheedo''n Ka Naam Likhna
tou Sab se Opar Hussain liknna. . .