Khatam hai duniya ki tareekh-e-wafa Abbas(AS) par
Ibtida jis se bhi ho, haan inteha Abbas(AS) par
Saari duniya ko nuseri k Khuda par naaz hai
Naaz karta hai nuseri ka Khuda Abbas(AS) Par
Chaadar-e-Tatheer thora aur barh jaati agar
Ik siraa Zainab(SA) pe hota doosra Abbas(AS) Par
Kabbah Ali(a.s) k faiz se gulzaar ban gaya.
but khanay se jo badla bawaqar ban gay...
Kabba Ali(a.s) ka shukir manay k wastay...
kala libass pahn k azadar hogaya...
Ajab Shan Hy Hussain Tmhare Lashkar Ki Kahan Se Dhoondh K Lain Misaal ASGHAR Ki Sitara Ab B Fajar Ka Udaas Hota Hy Sunai Deti Hy Ab Bhi Azaan Akber Ki..
Jis ne Mun Mora Mushkil Kusha Se
Door Hogaya Phir WO Khuda se
Jis Ki Wabastagi Hi Nahi Hai
Ab Bhi Darwaaza e Sayyida Se
Dehr Me Darbadar, Zindagi Bhar
Thokerain Yuhin Khata Rahega
Hazret Ali se ksi ne pucha "yeh kese pata chale ga k jo pareshani ya musebet hem pe ai hey wo Allah ki tref se saza hey ya azmaish". Aap ne jwab men frmaya "jo musebet tujhe Allah ki tref le jay wo azmaish hey jo musebet tujhe Allah se dur kr dey wo saza hey".