Taqat-e-Matam-e-Shabbir say la ilm hay tu,,
Yai woh jadu hay jo aag per bhi chal jata hay,,
Jis dum kartay hain mawali aag per matam,,
Un ko kuch nahi hota aur tu jal jata hay..
Percham-e- Hazrt-e-Abbas Uthay Rukh Na
Shor-e-Matam Sy Zamany Ko Jagay Rukhna
Gham-e-Shabbir Ibadat Hy Koi Rasm Nahi
Apni Naslon ko Azadaar Banay Rukhna
Barasti Barish Ko Dekh Ke Yeh Ihsas Hota Hai
Gham_Hussain Main Yeh Bi GhamGheen Hota Hai
Yeh Badlon Ka Gharjna Yeh Bijli Ka Chamakna
Yeh Zor_e_Matam main aur Betaab hota hai
Aye Jhoot Ke Fatwoon Ki Dukan Kholne Wale
Farman-e-Payumber Ko Na Is Tarah Bhula De
Hum Matam-e-Shabbir Se Ruk Jain Gay Aye Dost
Shabbir-o-Shareeyat Main Zara Farq Bata De