mehki hui jannat k hawa khoob hai leken
Abbas(a s) k rozay k fiza sab seh alag hai
laao tou ata karnay main Abbas ka sani
bin hathoon seh denay k ada sab seh alag hai.......
Ali(a.s) ke dar pe jo aata hay wo jaata nahain khali.
Ke is dar se hi hoti hay sab hi ki door bad hali.
Ali (a.s) pyar kitna hay meray Allah ko dekho.
Ali (a.s) ke dushmano ko dekh ke dozakh bana dali.
Percham-e- Hazrt-e-Abbas Uthay Rukh Na
Shor-e-Matam Sy Zamany Ko Jagay Rukhna
Gham-e-Shabbir Ibadat Hy Koi Rasm Nahi
Apni Naslon ko Azadaar Banay Rukhna