Tamanah yeh mere ta umar-e- zindagi rahe gi
Her namaz main bas yehi dua Allah kay guzar rahe gi
Shamil mujhe karley MOla apni foj main
Phir dekhna kis Munkir-e-Ali(A.S) ki garden dhar per rahe gi
Hasan(AS) hai naam Konain ka Dulara hai
Khudaee aik taraf yeh khuda ka pyara hai
Ali(AS) ka noor-e-nazar Syeda(SA) ka lakht-e-jigar
Nabi(SAWW) ki aankhon ka pehla haseen tara hai
para''ey des main bhi apni seekhoon dhoond letay hain
Ali waalay Ali waalon ki khushboo soongh letay hain
naajanay musalmaanon ko nazar kiyun nahin aatay
fazaail to meray Maula k hindu dhoond letay hain
Zikre-e-Shabbir Dhamakon sey Dabaney Waley
Kitney Nadaan hain Shion ko Daraney Waley
Ghaib sey aati hai ya Sada-e-Mehdi (AS)
Zikre-e-Shabbir Karo hum ney bachaney waley