Dil ki basti mein karbala barpa Lashay yadon k khaak mein ghiltan Kheima-e-Fiqr zad pe shoalon ki Harf sajda kunan hain honton per Har taraf al-atash ki awazein Maan nezon pay hain tarazu huey Dharkno k galu pay khanjar hai Khab k sar say chin chuki hai rida Bain uthtay hain dil ki nagri say Pyar ki alqama pay pehray hain Zeest ko daan abla pai Dast-e-Qatil mein zulf subha ki Ashk arzan huey hain palkon pay Phir Muharram kaa chand nikla hai..
aale nabi ka zikr tha jin wakiyaat main
who wakiyaat miltey nahin hai Deeniyat main
jin par fakeer bheek bhi mangtey nahn
woh naam shamil hogaye islamiyat main
Na Janay Khoobsorat kis Qadar THA WOH ALI ZADA(A.S)
Farishtay Deakhny Aatay thay US AHSAN NAMAZI (A.S) KO
jahan pe QASIM O AKBAR , SAJJAD JESE THAY
Wahan QAMR e BANI HASHIM Kaha Jata tha GHAZI (A.S) ko.
Saja rakhi thi darya par ajab baraat pani ki
Bahut kerte the Ashrare yazidi baat pani ki
Magar sahil pe pahonche thokarain marien chale aye
Bata di Hazrat-e-Abbas ne Auqaat pani ki.
Taqat-e-Matam-e-Shabbir say la ilm hay tu,,
Yai woh jadu hay jo aag per bhi chal jata hay,,
Jis dum kartay hain mawali aag per matam,,
Un ko kuch nahi hota aur tu jal jata hay..
Hazret Ali se ksi ne pucha "yeh kese pata chale ga k jo pareshani ya musebet hem pe ai hey wo Allah ki tref se saza hey ya azmaish". Aap ne jwab men frmaya "jo musebet tujhe Allah ki tref le jay wo azmaish hey jo musebet tujhe Allah se dur kr dey wo saza hey".