ap main se jo koi bhe pehli martaba Hajj ya Umrah par jayey to Khana Kaaba pr pehli nazar partey hee ye dua mangey," Ya Allah Muje Mustajab al Dua bana de Aameen,:kaaba ko pehli nazar main dekh kr jo bhee dua mangi jayey woh qabool hoti hai , so plz remember
Ali(a.s) ke dar pe jo aata hay wo jaata nahain khali.
Ke is dar se hi hoti hay sab hi ki door bad hali.
Ali (a.s) pyar kitna hay meray Allah ko dekho.
Ali (a.s) ke dushmano ko dekh ke dozakh bana dali.
Khush na Hamse Dushman e Haider Hua,Acha Hua
Dushman e Haider Ka Hamse Dil Jala, Acha Hua
Hogaya Nazdeek Mujse Rab Mera Ayy Doston
FATIMA ke Dushmano Se Fasla, Acha Hua
itni c bus hikayat-e-EHD-e-ZAMANA hai
HUJJAAT KHUDA ki asal hai baqi fasana hai
Ghairoon ne jo IMAM banaye thay chal basay
Zinda faqat hamara IMAM-E-ZAMANA(a.s) hai
Mangnay walon k dil ko ye yaqeen hai ABBAS(a.s).
" NA " karna tera dastoor nahi hai ABBAS(a.s).
Aa rahi hai Daro deewaar say Khushbo-e-Wafa.
Aisa lag raha hai is waqt yaheen hain ABBAS(a.s).
Saja rakhi thi darya par ajab baraat pani ki
Bahut kerte the Ashrare yazidi baat pani ki
Magar sahil pe pahonche thokarain marien chale aye
Bata di Hazrat-e-Abbas ne Auqaat pani ki.
Jo nathiq e Qura''an ne diya nok e sina se
paigham wo dunya se mitay ga na mita hai
qanoon e Hussain ibne Ali(a.s) bar sir e sehra
Abbas(a.s) ne haatho ko qalam ker k likha hai