Ghum e hussain har eik shahair har eik dariya gaya
Jahan qafila na pohncha wahan ghubbar gaya
Thi karbala me jang agar shahzadun ki
Qalam me dum hy to likhoo hussain har gaya
Taqat-e-Matam-e-Shabbir say la ilm hay tu,,
Yai woh jadu hay jo aag per bhi chal jata hay,,
Jis dum kartay hain mawali aag per matam,,
Un ko kuch nahi hota aur tu jal jata hay..
Kuch Barhami Hai Zara Is Noor-E-Ain Main Milta Hai Iztiraab Yunhi Dil K Chain Main Selaab Dekhta Hoon Tou Ata Hai Ye Khyal Pani Bhatak Raha Hai Talash-E-HUSAIN Main..
Aye mavia mardood tu naakaam hogaya
Duniya main zikre Aal-e-Nabi aam hogaya
Meray Hussain per hain Durodon ki barishain
laanaaat teray yazeed ka anjaam hogaya
Hasan(AS) hai naam Konain ka Dulara hai
Khudaee aik taraf yeh khuda ka pyara hai
Ali(AS) ka noor-e-nazar Syeda(SA) ka lakht-e-jigar
Nabi(SAWW) ki aankhon ka pehla haseen tara hai