Us Roz Ek Ghair Bh

Us Roz Ek Ghair Bh
Us Roz Ek Ghair Bhi Apna Laga Mujhay
Us ne Kaha HUSSAIN to Acha Laga Mujhay

6 Mahh Kay Sagheer Nay Kia Kad Barha Lia
Aur Woh Jo Hurmala Tha Woh Bacha Laga Mujhay
  

Jun, 15 2010     167 chars (2 sms)     2513 views       Islamic

more Islamic SMS Messages

Itni Si “DUA” Hai K Har Any Wale “Lamhey” Me.
Tumhari Duniya Me “Roshni” Ho.
Tumhare Honton Pe “Muskurahat”Ho.
Tumhari Har 1 “Tamana” Har 1 “Khwahish”.
Tumhare “Honton” Tak Aany se pahly pori hon.
Ye Dua Ka “Tohfa” Sambhal K Rakhna
Bus Tum Apna “KHAYAL RAKHNA”
Jo BOTURAB K Qadmo''n Ki Khaak Ho Jata

Qasam Khuda Ki Wo Hii Shaks Pak Ho Jata

Ye Baat Kis Ne Kahi Pochiye MOarikh Se ?

Ali Na Hote Tou Main Bhi Halaak Ho Jata
Saba Bhi Guzry Jo Karbala Se
Tou Us Ko Kehta Hy Arsh Wala

Tu Aur Dheery Guzar Yahan Pr
Mera Hussain So Raha Hy
Tumhare hijr ko wo inteha na keh bethein
Kaheen janab ko wahdat saraa'' na keh bethein
Wajood rakhte huey bhi dikhaii dete nahi
Ae Mola bande tujhi ko Khuda na keh bethein
ZANJEER TOOT JAYEGE KEHTE HE YA ALI(as)..

DARBAAR DEKH LEGA MUKHTAAR KON HAI.

ABID(as) KA WO JALAL THA DARBAR-E-SHAAM ME

HAKIM YE POOCHTA RAHA BEEMAR KON HAI.
Khush na Hamse Dushman e Haider Hua,Acha Hua
Dushman e Haider Ka Hamse Dil Jala, Acha Hua
Hogaya Nazdeek Mujse Rab Mera Ayy Doston
FATIMA ke Dushmano Se Fasla, Acha Hua
Dasht-e-Bala ko Arsh ka Zeena Bana diya
Jungle ko Mustafa ka Madina Bana Diya
Har Zarrey ko Najf key Nagina Bana Diya
Aye Husain Tum ney Marney ko Jeena Bana Diya

Salam ya Hussain (AS)
Janat Ki Arzoo Main Kahan Ja Rhy Hain Log….
Janat To Karbala Main Khareedi HUSSAIN(a.s) Ny….
Duniya-o-Akhrat Main Jo Rehna Ho Chain Sy….
Jeena ALI(a.s) Sy Seekho Marna HUSSAIN(a.s) Sy..
Kitni Bulandiyoon pai hai Eaiwan-e-FATIMAH(S.A)
Roouh-ul-Ameen hai soorat-e-Darban-e-FATIMAH(S.A)
Hasil kahan demagh ko Irfan-e-FATIMAH(S.A)
Khuld-e-Bareen hai Naqsha-e-Imkan-e-FATIMAH(S.A)
Kuch is liye bhi mujh ko Tilawat ka shauq hai
QURAAN hai lafz lafz, Sana Khwan-e-FATIMAH(S.A)
Seenay me jo abbas k kadmo ki dhamak hy
Heabat in dhamak ki sir e aarsh talak hy
Yeh keh k guzarta hy garajta huwa badal
Bijli mairey Abbas k lehjay ki karak hy
Kadurat Ho To Sachi Baat Bhi Mani Nahi Jati
Ke Chashme Toor Tak Suraj Ki Tabaani Nahi Jati
Ab Itna Bhi na Apne ko Bigaro Bugze HAIDER Me
Ke Khud Tumse Tumhari Shakl Hi Pehchani Nahi Jati
Zom e kasrat tha jinhain sab wo hijazi nikle

Wo 72 they jo kirdar k ghazi nikle

Is haqiqat ko bhala kon chupa sakta hy

Jitne Shabbir k qatil thy namazi nikle.