Kitni Bulandiyoon pai hai Eaiwan-e-FATIMAH(S.A)
Roouh-ul-Ameen hai soorat-e-Darban-e-FATIMAH(S.A)
Hasil kahan demagh ko Irfan-e-FATIMAH(S.A)
Khuld-e-Bareen hai Naqsha-e-Imkan-e-FATIMAH(S.A)
Kuch is liye bhi mujh ko Tilawat ka shauq hai
QURAAN hai lafz lafz, Sana Khwan-e-FATIMAH(S.A)
Wafa ko naaz hai jis par usay Abbas(AS) kehte hein
Lagay jo Saani-e-Haider(AS) usay Abbas(AS) kehte hein
Alam patthar pe jo gaaray usay kehte hein sab Haider(AS)
Alam gaaray jo pani par usay Abbas(AS) kehte hein
Jis ne Mun Mora Mushkil Kusha Se
Door Hogaya Phir WO Khuda se
Jis Ki Wabastagi Hi Nahi Hai
Ab Bhi Darwaaza e Sayyida Se
Dehr Me Darbadar, Zindagi Bhar
Thokerain Yuhin Khata Rahega