Manaoo jashan k kaabay me Ali arahey hain
Khudda k ghar say botoon ko bhaga rahey hain
Dewar e kabba nay haans k kaha khudda ki kasam
Mujhey Ali tawaaf k qabil bana rahey hain
Sab k sab aala nasab silsila hy aik sa
Ibtida hyder say hy Mehdi pay hy inteha
Chotay barey ka sawal in me huwa hy na hoo
Dada bhi laftah pota bhi mushkil khusha
Dehleez-e-Pajetan se khushi ki naveed lo
Khuld-e-bareen k dar se sunehri khaleed lo
logon dar-e-batool se jannat na maango
BEHLOOL bechta hai usi se kharid lo.
Na Janay Khoobsorat kis Qadar THA WOH ALI ZADA(A.S)
Farishtay Deakhny Aatay thay US AHSAN NAMAZI (A.S) KO
jahan pe QASIM O AKBAR , SAJJAD JESE THAY
Wahan QAMR e BANI HASHIM Kaha Jata tha GHAZI (A.S) ko.