Yazeed Mausam e

Yazeed Mausam e
Yazeed Mausam e Isyaan ka La-ilaaj Marz
Hussain Khaak ko Khak e Shifa Banata Hai

Yazeed Aaj bhi bantay hai log Koshish Say
Hussain Khud nahi banta Khuda Banata Hai
  

Jun, 15 2010     168 chars (2 sms)     2239 views       Islamic

more Islamic SMS Messages

Dasht-e-Bala ko Arsh ka Zeena Bana diya
Jungle ko Mustafa ka Madina Bana Diya
Har Zarrey ko Najf key Nagina Bana Diya
Aye Husain Tum ney Marney ko Jeena Bana Diya

Salam ya Hussain (AS)
Aazan DainGi Tumhari Aankhain
Tumhaare Misray Adaa Karain Gi
Tum Aisa Karna K Rah-e-Haqq Main
Hussain Parh kar Hussain liknna

Wo Barchiyan Wo Chamaktay KhanJar
wo TapTay Sehraa Pukaartay hain
Tum Aisa Karna K KarBalaa ke
Badan Pe Ja Kar Hussain liknna

Agar Kitaabat Ka Shauq Ho to
Kitaab-e-Sabar-0-Razaa Main Rahat
Jahan Shaheedo''n Ka Naam Likhna
tou Sab se Opar Hussain liknna. . .
Jo nathiq e Qura''an ne diya nok e sina se
paigham wo dunya se mitay ga na mita hai
qanoon e Hussain ibne Ali(a.s) bar sir e sehra
Abbas(a.s) ne haatho ko qalam ker k likha hai
TERE DIL MAIN KAISI GIRAH PARI TUJHAY US SE ITNA HASAD HAI KYUN?

JO NABI(S.A.W.) KI AANKH KA NOOR HAI JO ALI KI ROOH KA CHAIN HAI

KABHI DEKH APNE KHAMEER MAIN KABHI POOCH APNE ZAMEER SE

WO JO MIT GAYA WO YAZEED THA, JO NA MIT SAKA WOH HUSSAIN HAI
Jis Ne Aal e Nabi Ko Sataya
Jis Ne Bint E Nabi Ko Rulaaya
Bil Yaqeen Bad Nasab Hai WO Insan
Jis Ne Qaul e Nabi ko Bhulaya
Noor Ko Noor Mana Na Jisne
Ta Qayamat Wo Andha Rahega
Marefat Unkao milti hy,
Jinki Akido''n me YAKEEN hota hy

Dikhawe se kuch nahi hota
Pairwi-e-Ahlebayt se Parwaz-e-Jannat hota hy
Tareekh de rahi haTareekh de rahi hai ye awaaz dum ba dum

Dasht-e-sabat-o-Azm hai Dast-e-Bala-o-Gham

Sabr-e-Maseeh wa jura’at suqraat ki qasam

Is rah main hai sirf ek insaan ka qadam

Jis ki rago’n mein Aatish-e-Badr-o-Hunain Hai

Us soorma ka isme girami ''''HUSSAIN'''' Hai. . i ye awaaz dum ba dum

Dasht-e-sabat-o-Azm hai Dast-e-Bala-o-Gham

Sabr-e-Maseeh wa jura’at suqraat ki qasam

Is rah main hai sirf ek insaan ka qadam

Jis ki rago’n mein Aatish-e-Badr-o-Hunain Hai

Us soorma ka isme girami ''''HUSSAIN'''' Hai. .
HUSSAIN
Ibn-e-ALI
Waqt Ki Tehzeeb Ka Naz

Jis Ny Afsha''n Kia
Insaan Ki Toqeer Ka
Raaz

Jis Ka Har Zakhm Hy
Sarmaye-e-Taqdeer-e-
Hijaaz

Jis Ny Teero''n K
Musal''ley Py Ada Ki
Hy NAMAZ ...


Marhab-e-waqt ko jiss teer say dar lagta hai
Run mei us teer ko baysheer(a.s) say dar lagta hai
Pay-e-Abid(a.s) mei pehnayee thee jinhon nay zanjeer
Unki aulad ko zanjeer say dar lagta hai

Submited in : In Honour Of Hazrat Hussain

Characters : 198 | Sms Length : 2

Submitted By K|-|AD!M From khi ( 0332-3160854 )
Ghum e hussain har eik shahair har eik dariya gaya
Jahan qafila na pohncha wahan ghubbar gaya
Thi karbala me jang agar shahzadun ki
Qalam me dum hy to likhoo hussain har gaya
Be Amal Dil Ho To Jazbat Se Kia Hota Hai
Zameen Banjar Ho To Barsat se Kia Hota Hai
Na Ho Jis Dil Me Ali e Murtaza Ka Ishq
Ayy Musalman In Ibadat Se Kia Hota Hai ?
Tareekh me duniyaTareekh me duniya ki wahid yehi manzar hy
Hansta huwa bacha hy roota huwa lashkar hy
Kya jang karun me insay Abbas e Jarii boley
In shaam ki foojon pe bhari maira Asghar hy