Saans leta hoon tu Jannat ki hawa ati hai,
Dil darakta hai tu Matam ki sada ati hai,
Qabar mein boolein gay Malak-ul-Maut kia tu uthata tha Alam ?
Teri maeyat se tu khushboo Wafa aati hai..
Khazanay ki jo zeenat ho usay ALMAAS kehtay hain
Tamana pani ki hoti hay toe PYAAS kehtay hain
Jahan peety jain sub pani usy kehtay hain sub darya
Jo darya ko pilata hoo usay ABBAS (A.S) kehtay hain!
Be Khouf Hoo Rahe Hai Azadari-e-HUSSAIN
Dil Koo Sukoon Hai K ALAMDAR Sath Hai
Sadiyon Se Ek Pal Koo Yeh Panja Na Jhuk Saka
ABBAS Tere Hath Pe ZEHRA Ka Hath Hai
Taqat-e-Matam-e-Shabbir say la ilm hay tu,,
Yai woh jadu hay jo aag per bhi chal jata hay,,
Jis dum kartay hain mawali aag per matam,,
Un ko kuch nahi hota aur tu jal jata hay..
Allah woh bhi waqt zamaney me laye ga
Dhonday say bhi nishan na batil ka payega
Khamosh is tarhan say jo rahey gi Kitab e Haq
Duniya me bolta huwa Quran Ayega
Ta ajub un pay hy bay wajha sir jo partey hain
Kisi say laina na daina fazool lartay hain
Khamosh baithey howey hain khamosh rehnay dain
Huk intezar me hyn apney aaqa k
log kyun phr kham khaa bigartey hain
itni c bus hikayat-e-EHD-e-ZAMANA hai
HUJJAAT KHUDA ki asal hai baqi fasana hai
Ghairoon ne jo IMAM banaye thay chal basay
Zinda faqat hamara IMAM-E-ZAMANA(a.s) hai