is wastay ali ko utara hy apney ghar
koi ali k samnay uff tak na kar sakey
aab tak nishan baqi rakha hy isiliye
devar shak rahey k koi shak na karsakey
Ali k wasf hyn itnay shumar kon karey
yeh kaam tairey hain parwardigar kon karey
yeh sooch kar na banaya khudaa nay or Ali
Shigaaf kaabey me aab bar bar kon karey
Tumhare hijr ko wo inteha na keh bethein
Kaheen janab ko wahdat saraa'' na keh bethein
Wajood rakhte huey bhi dikhaii dete nahi
Ae Mola bande tujhi ko Khuda na keh bethein
mehki hui jannat k hawa khoob hai leken
Abbas(a s) k rozay k fiza sab seh alag hai
laao tou ata karnay main Abbas ka sani
bin hathoon seh denay k ada sab seh alag hai.......
Ya RAB ye iltimaas hai teri janab mai
Mujh ko mila day KHAK-E-DAR-E-BOOTRAAB mai
Baad-e-namaaz daikhtay hain yun idher udher
gardan phansi ho jaisay KHUDA ke azaab main
Jab tum namaz nahi parhatey to ye maat soochoo keh tumhien waqt nahi mila , Balkey ye soochoo keh aisi kon si khata hui keh ALLAH TALA nien tumhien apney samney khara karna bhi pasand nahi kia.