Insan jab paida hota hai to azan di jati hain namaz nai parhi jati aur jb marta hai to namaz parhi jati hai azan nai di jati yani zindagi ka safar azan se namaz tak hai
Daagh e Matam jo seenay se laga rakkha hai
Dil ko Mola ka aza khana bana rakkha hai
Mushkilo soch k aana mere ghar ki jaanib
Meine Ghazi(AS) ka alam ghar pe laga rakkha hai
Mumkin nahi hai kisi sy adaawat Hussain(A.S) ki.
Sansoon mein but rahi hai sakhawat Hussain(A.S) ki.
Bazar k Khajoom se keh do chup rahe.
Quran kar raha hai talawat Hussain(A.S) ki.
Taqat-e-Matam-e-Shabbir say la ilm hay tu,,
Yai woh jadu hay jo aag per bhi chal jata hay,,
Jis dum kartay hain mawali aag per matam,,
Un ko kuch nahi hota aur tu jal jata hay..
Acha dost kitni dafa hi kyun na ruth jaye ussey mana lena chahiyeh kyun ke tasbeeh ke daney kitni dafa hi kyun na bikher jayein chun liye jatey hein Hazrat Ali (A.S)
DIL HAI K MUSALSAL YEH DUA MANG RAHA HAI
PHIR SAY SAFAR E KERB-O-BALA MANG RAHA HAI
SHABEER a.s K MAQTAL SAY ABHI TAK SAR-E-MOMIN
SAJDON K LIYAY KHAK-E-SHIFA MANG RAHA HAI