SHUKRANA

SHUKRANA
SHUKRANA

Aye Khuda...Sun...Zara...
Haath Mere Uthey Jab Dua k liye...
Lab Hiley,aankh se chand Qatrey Girey
Ghaur se main ne Dekhi Hatheli wahan...
Qatre Moti k jaisey chamakne lagey...
*Khushboo* Ghulne lagi jab Meri Sans me
Khul k Ehsaas mujh ko hua iss tarha....
Arsh Par Badalon se Parey Uss Jagah
Poori Hone Lagi meri Har ek Dua
Wo Dua jiss ko Boya tha Dil k Jahan
Aabiyari thi
ashkon ki Har pal wahan
Soz hardam Tadap aah o zaari Rahi
Wo Dua kesey na
Rang laati meri?
Ek Muddat ye gham mujh pe haawi Rahey
Mere SAJDE tere Dar Sawali Rahey
aour TU iss Qadar..iss Qadar Mahraban..
Hai Tere hi Karam ki ye sab Inteha
Mere Hathon ko Girne se hi qabl yun
Bhar Di Jholi meri Tu ne Rabb E Jahan...
Hai ye tera Karam...
moajza jo kiyaa....
***WO JO MERA NAHI THA****
mera HOGAYA....
  

Dec, 14 2011     782 chars (5 sms)     2517 views       Islamic

more Islamic SMS Messages

Ab is se barhke kya hai Fazilat HUSSAIN kee,
Jahan kar raha hai Midhat HUSSAIN Kee,
Hum lege Karbala ke Shahidon Ka Inteqam Mahshar me,
Jab lagegi adalat HUSSAIN kee.
Zikre-e-Shabbir Dhamakon sey Dabaney Waley
Kitney Nadaan hain Shion ko Daraney Waley
Ghaib sey aati hai ya Sada-e-Mehdi (AS)
Zikre-e-Shabbir Karo hum ney bachaney waley
Hussain teray lahoo ki khusbo falak k daaman say arhi hay

ye khoon-e-nahaq hay khun chupay ga?

jissay ye dunia chupa rahi hay
Not matter where you have been,

no matter what you have done,

no matter how deep you have fallen;

there is always forgiveness.
Kuch barhami hai zara is noor-e-ain main
Milta hai iztiraab yunhi dil k chain main
Selaab dekhta hoon tou ata hai ye khyal
Pani bhatak raha hai talash-e-HUSAIN main
DIL HAI K MUSALSAL YEH DUA MANG RAHA HAI
PHIR SAY SAFAR E KERB-O-BALA MANG RAHA HAI
SHABEER a.s K MAQTAL SAY ABHI TAK SAR-E-MOMIN
SAJDON K LIYAY KHAK-E-SHIFA MANG RAHA HAI
Is Aasrey Pe Dil-e-Beqarar Zinda Hai

Koi Tou Ashqo''n Ka Umeedwar Zinda Hai

Gham-e-Hussain Ko Biddat Zara Sambhal K Kaho

Abhi Hussain Ka Ek Sogwaar Zinda hai
Zom e kasrat tha jinhain sab wo hijazi nikle

Wo 72 they jo kirdar k ghazi nikle

Is haqiqat ko bhala kon chupa sakta hy

Jitne Shabbir k qatil thy namazi nikle.
aa aa ke zalzaloon ne musalsal zameen per
ASGHAR(a.s) tumhari qabar ko jhula bana dia
Jab bhi jo deta hai Laraib jali deta hai
Khud kabhi aur wasilay se kabhi deta hai
Mang leta hoon to lay aata hai khaliq se magar
Mujh ko dunya mein mera rizq Ali(as) deta hai

jo maatam ke sada say ghar sada anjaan rehta hhai

wahan rehmat nahi hoti wahan shaitaan rehta hai

khuda bhi door rehta hai farishtay bhi nhai atay

jahan majlis nahiii hoti wo gher weeran rehta hai
ALI ka ishq muqaddar sanwar deta hai
ALI ka bughz chehra bigaar deta hai
ALI ki zaat ko adnaa mat kaho nadaano
Ye ek yngli se khyber ukhaar deta hai.