Gali gali Main Usi Ka Parcham
Usi Ka Sajda Jabeen Jabeen hey
Qadam Qadam Pey Sabeel Us Ki
Nazar Nazar Main Wohi Makeen Hai
Hawa Hawa Main Usi Kay Nohay
Wohi Tasveer Khla Nasheen hey
Usi Ka Matam hey Aag Per Bhi
Usi Ka Gham Khuld Ka Ameen Hai
Falak Falak Pay Lahoo Usi Ka
Usi Ki Majlis Zameen Zameen Hai
Hussainiat Ko Mitanay Walo
Hussainiat Ab Kahan Nahee HAi
Tareekh me duniyaTareekh me duniya ki wahid yehi manzar hy
Hansta huwa bacha hy roota huwa lashkar hy
Kya jang karun me insay Abbas e Jarii boley
In shaam ki foojon pe bhari maira Asghar hy
Mariyam se bhi Batool ko rutba siwa mila
Baba ussey Rasool sa khair ul wara mila
Baita her ik shaheed-e-rah-e-kibriya mila
Shauher mila tou khalq ka mushkil kusha mila
her aik apnay mertabay mein intekhaab hai
Zehra hain bemisaal Ali lajawaab hai
Jis ne Mun Mora Mushkil Kusha Se
Door Hogaya Phir WO Khuda se
Jis Ki Wabastagi Hi Nahi Hai
Ab Bhi Darwaaza e Sayyida Se
Dehr Me Darbadar, Zindagi Bhar
Thokerain Yuhin Khata Rahega
Zarurat Thi Talwaar Ki Na Aur Kisi Hathiyar Ki
Sirf Ek Dua Thi Karbala Main Alamdaar Ki
Fakat Mil Jaye Ijazat Aqa Hussain Sai
To Yaad DilaDunga Jung Haider-e-Karrar Ki
jin kay sajdaon say manover hay jabeen-e-aftab meary harfoon ki ibadet un khuda waloon kay nam meari shah rag ka lahoo nazary shaheedanay wafa mary jazboon ki aqeedat karbala waloon kay nam