Ae Allah! Aisa na ho ke Aazmaaishein mujhy gumraah kr dain Tu mere jism meri Rooh mere dil ko Pak kr de Ye zindagi meri duniadari main uljhi hai Jesa tu chahta hai Ab mjhy wesa kr de mere hr faisly main Teri Raza ho shamil jo tera Hukam ho wo mere Irada kr de.....(Ameen)
Khushi ki bazm main bhi ghum talaash kertay hain,
Dil-e-BATOOL s.a ka marhum talaash kertay hain,
Maza mila hay aazaa-e-HUSSAIN a.s se itna,
Hum eid main bhi muharram talaash kertay hain
Saans leta hoon tu Jannat ki hawa ati hai,
Dil darakta hai tu Matam ki sada ati hai,
Qabar mein boolein gay Malak-ul-Maut kia tu uthata tha Alam ?
Teri maeyat se tu khushboo Wafa aati hai..